mazdur
Interesting Fact
(Published: Karachi, 1967)
Dhā.ī-man aaTe kī borī
jab us ne apne kāñdhoñ se
tāñge meñ luḌhkā.ī
aur apnī peshānī par se
ḳhuun pasīna ban kar bahtā paanī poñchhā
us ke paas khaḌī begam ne
apne chamkīle baTve ko lahrā kar
us se pūchhā
kyuuñ be laḌke
kitne paise loge tum
vo ghighyāyā
bī-bī-jī jo marzī de deñ
ye sun kar merī nas nas meñ
ġhusse aur nafrat kī ik bijlī sī chamkī
o re kamīne
buzdil aur miskīn
tū apnī jaa.ez ujrat bhī
himmat se gardan akḌā kar
maañg nahīñ saktā
Dhai-man aaTe ki bori
jab us ne apne kandhon se
tange mein luDhkai
aur apni peshani par se
KHun pasina ban kar bahta pani ponchha
us ke pas khaDi begam ne
apne chamkile baTwe ko lahra kar
us se puchha
kyun be laDke
kitne paise loge tum
wo ghighyaya
bi-bi-ji jo marzi de den
ye sun kar meri nas nas mein
ghusse aur nafrat ki ek bijli si chamki
o re kamine
buzdil aur miskin
tu apni jaez ujrat bhi
himmat se gardan akDa kar
mang nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.