mazdur
hai tere sar pe qanā.at kā taaj ai mazdūr
ki tere sāmne hotā hai ḳham sar-e-maġhrūr
har ek saañs hai terī shikast kī āvāz
tire sukūn meñ lekin haiñ fat.h ke andāz
hai tere rang meñ pazhmurda hasratoñ kā hujūm
magar kisī ne bhī dekhā nahīñ tujhe maġhmūm
tire aqīde meñ ġhaflat hai ik gunāh-e-azīm
tujhe jagānī hai sūraj ke saath mauj-e-nasīm
hujūm-e-ranj-o-alam meñ bhī terā dil hai javāñ
subuk bahāo pe dariyā ke jis tarah ho chaTāñ
hai sar pe Tokrā lohe kā haath meñ hai kudāl
baġhal meñ phāvDā aur dil meñ apne ghar kā ḳhayāl
lageñ jo haath tire jhoñpaḌā bhī aivāñ ho
tire qadam jo paḌeñ dasht bhī gulistāñ ho
libās-e-dahr haiñ tere libās ke paivand
ḳhudā gavāh hai sarmāya-dār kī saugand
hai tere haal pe betāb jazba-e-insāf
nigāh-e-dīdā-e-haq kar rahī hai terā tavāf
nahīñ hai tere taḳhayyul meñ fitna-e-tahqīq
haiñ tere jahl pe qurbān nukta-hā-e-daqīq
fareb makr daġhā jang zar-garī takzīb
tire junūñ ko nahīñ chheḌtī na.ī tahzīb
tirī adā hai purānī ḳhayāl farsūda
magar nahīñ hai tirā dil gunāh ālūda
tujhe haqīr samajhtā hai zar-parast jalāl
jahān-e-jabr-o-tashaddud maqām-e-jang-o-qitāl
kise sunā.ūñ tirī dāstān-e-barbādī
kise kahūñ ki hai terā sukūt fariyādī
kise dikhā.ūñ ki hai ḳhuuñ tire pasīne meñ
kise batā.ūñ ki haiñ daaġh tere siine meñ
haqāratoñ se na ghabrā shaqāvatoñ se na Dar
ki kor-chashmoñ ko hotī nahīñ tamīz-e-nazar
hai tere haath meñ āzāda-kāriyoñ kī lagām
tujhe ġhulām jo kah de vo laakh baar ġhulām
hai tere sar pe qanaat ka taj ai mazdur
ki tere samne hota hai KHam sar-e-maghrur
har ek sans hai teri shikast ki aawaz
tere sukun mein lekin hain fath ke andaz
hai tere rang mein pazhmurda hasraton ka hujum
magar kisi ne bhi dekha nahin tujhe maghmum
tere aqide mein ghaflat hai ek gunah-e-azim
tujhe jagani hai suraj ke sath mauj-e-nasim
hujum-e-ranj-o-alam mein bhi tera dil hai jawan
subuk bahao pe dariya ke jis tarah ho chaTan
hai sar pe Tokra lohe ka hath mein hai kudal
baghal mein phawDa aur dil mein apne ghar ka KHayal
lagen jo hath tere jhonpaDa bhi aiwan ho
tere qadam jo paDen dasht bhi gulistan ho
libas-e-dahr hain tere libas ke paiwand
KHuda gawah hai sarmaya-dar ki saugand
hai tere haal pe betab jazba-e-insaf
nigah-e-dida-e-haq kar rahi hai tera tawaf
nahin hai tere taKHayyul mein fitna-e-tahqiq
hain tere jahl pe qurban nukta-ha-e-daqiq
fareb makr dagha jang zar-gari takzib
tere junun ko nahin chheDti nai tahzib
teri ada hai purani KHayal farsuda
magar nahin hai tera dil gunah aaluda
tujhe haqir samajhta hai zar-parast jalal
jahan-e-jabr-o-tashaddud maqam-e-jang-o-qital
kise sunaun teri dastan-e-barbaadi
kise kahun ki hai tera sukut fariyaadi
kise dikhaun ki hai KHun tere pasine mein
kise bataun ki hain dagh tere sine mein
haqaraton se na ghabra shaqawaton se na Dar
ki kor-chashmon ko hoti nahin tamiz-e-nazar
hai tere hath mein aazada-kariyon ki lagam
tujhe ghulam jo kah de wo lakh bar ghulam
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.