mazdur ki aawaz
Interesting Fact
یہ نظم انور خاں اینڈ محبوب ٹوبیکو کمپنی جبلپور کے مزدوروں کی ہڑتال کے سلسلے میں کہی اور پڑھی۔ اس تحریک میں ہندو مزدور لیڈروں نے ہندو مزدوروں کو تحریک سے الگ رکھنے کی کوشش کی تھی۔
mazdūr kā qissa kyā itnā hī fasāna hai
lafzoñ meñ faqat is kā hamdard zamāna hai
daulat ke numā.inde ḳhud-sāḳhta leader haiñ
hindū ko musalmāñ se kaam in kā laḌānā hai
bahrūp badalte haiñ har roz nirāle vo
har haal meñ in ko bas ḳhair apnī manānā hai
in se koī pūchhe to leader haiñ ki dictator
manzil hai kahāñ in kī kis raah se jaanā hai
hai daulat-o-sarvat kā kuchh nashsha jise sun le
sar aaj ġharīboñ ko naḳhvat kā jhukānā hai
hushiyār ġharīboñ ke badle hue tevar haiñ
maane ki na maane tū ik baar jatānā hai
faulād ke panje se mumkin hai rihā.ī kyā
kyā nām-o-nishāñ apnā ḳhud tujh ko miTānā hai
ye ThāTh tire ġhāfil sab jis kī badaulat haiñ
kuchh is ke liye tujh ko taklīf uThānā hai
mazdūr kī azmat se inkār na kar ġhāfil
mazdūr kī Thokar meñ duniyā kā ḳhazāna hai
ham ye bhī samajhte haiñ aur ḳhuub samajhte haiñ
dukh-dard miTāne ko taklīf uThānā hai
'nazmī' ye 'jigar' kā bhī kyā ḳhuub hī misrā hai
ham ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ zamāna hai
mazdur ka qissa kya itna hi fasana hai
lafzon mein faqat is ka hamdard zamana hai
daulat ke numainde KHud-saKHta leader hain
hindu ko musalman se kaam in ka laDana hai
bahrup badalte hain har roz nirale wo
har haal mein in ko bas KHair apni manana hai
in se koi puchhe to leader hain ki dictator
manzil hai kahan in ki kis rah se jaana hai
hai daulat-o-sarwat ka kuchh nashsha jise sun le
sar aaj gharibon ko naKHwat ka jhukana hai
hushiyar gharibon ke badle hue tewar hain
mane ki na mane tu ek bar jatana hai
faulad ke panje se mumkin hai rihai kya
kya nam-o-nishan apna KHud tujh ko miTana hai
ye ThaTh tere ghafil sab jis ki badaulat hain
kuchh is ke liye tujh ko taklif uThana hai
mazdur ki azmat se inkar na kar ghafil
mazdur ki Thokar mein duniya ka KHazana hai
hum ye bhi samajhte hain aur KHub samajhte hain
dukh-dard miTane ko taklif uThana hai
'nazmi' ye 'jigar' ka bhi kya KHub hi misra hai
hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.