ek muflis ġharīb aur lāchār
jis kā hamdam koī na hai ġham-ḳhvār
jān-e-jamhūr us ko kahte haiñ
yaanī mazdūr us ko kahte haiñ
kaun samjhegā us kī majbūrī
chaar rupya huī hai mazdūrī
ik javāñ-sāl us kī beTī hai
vo bhī bīmār ghar meñ leTī hai
ghar raqam itnī le ke kyā jaa.e
itne meñ kyā khilā.e kyā khaa.e
sub.h se shaam hone aa.ī hai
ik udāsī sī ghar meñ chhā.ī hai
kaise vo bā-shu.ūr rahtā ho
har ḳhushī se jo duur rahtā ho
murda-dil ke lahū meñ josh nahīñ
fāqa-mastī meñ kuchh bhī hosh nahīñ
ghar meñ chāval hai aur na aaTā hai
raat din jaane kaise kaaTā hai
kaun duniyā meñ sunñe vaalā hai
zar-parastoñ kā bol-bālā hai
beTī ke ziist kā bujhā jo diyā
maut ne apnī āfiyat meñ liyā
aisā majbūr kis tarah se jiye
khaa.e ġham aur ḳhūn-e-dil jo piye
hasratoñ kā janāza ḳhuub gayā
ye bhī dariyā meñ jā ke Duub gayā
ek muflis gharib aur lachaar
jis ka hamdam koi na hai gham-KHwar
jaan-e-jamhur us ko kahte hain
yani mazdur us ko kahte hain
kaun samjhega us ki majburi
chaar rupya hui hai mazduri
ek jawan-sal us ki beTi hai
wo bhi bimar ghar mein leTi hai
ghar raqam itni le ke kya jae
itne mein kya khilae kya khae
subh se sham hone aai hai
ek udasi si ghar mein chhai hai
kaise wo ba-shuur rahta ho
har KHushi se jo dur rahta ho
murda-dil ke lahu mein josh nahin
faqa-masti mein kuchh bhi hosh nahin
ghar mein chawal hai aur na aaTa hai
raat din jaane kaise kaTa hai
kaun duniya mein sunne wala hai
zar-paraston ka bol-baala hai
beTi ke zist ka bujha jo diya
maut ne apni aafiyat mein liya
aisa majbur kis tarah se jiye
khae gham aur KHun-e-dil jo piye
hasraton ka janaza KHub gaya
ye bhi dariya mein ja ke Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.