mazdur
use kyā farq paḌtā hai
december biit jaane se
yakum tārīḳh aane se
kisī bhī sāl-e-nau ke ḳhair-maqdam par ḳhushī ke shādyāne se
surūr-o-kaif-o-mastī meñ mohabbat ke tarāne se
club aur hoTaloñ meñ vahshiyāna raqs par saudā.iyoñ ke thartharāne se
use kyā farq paḌtā hai
use to har guzartā saal ik jaisā hī lagtā hai
vo ik mazdūr he jis kī
musalsal bhuuk aur iflās se arse se lambī jañg jaarī hai
ki jis ke sāmne har sub.h pai-dar-pai mashaqqat ke taqāze haiñ
kaḌī mehnat riyāzat jehd-e-paiham us kā maslak hai
use kyā farq paḌtā hai
calender par na.e hindsoñ kī ik tārīḳh aane se
december biit jaane se
nayā ik saal aane se
use kya farq paDta hai
december bit jaane se
yakum tariKH aane se
kisi bhi sal-e-nau ke KHair-maqdam par KHushi ke shadyane se
surur-o-kaif-o-masti mein mohabbat ke tarane se
club aur hoTalon mein wahshiyana raqs par saudaiyon ke thartharane se
use kya farq paDta hai
use to har guzarta sal ek jaisa hi lagta hai
wo ek mazdur he jis ki
musalsal bhuk aur iflas se arse se lambi jang jari hai
ki jis ke samne har subh pai-dar-pai mashaqqat ke taqaze hain
kaDi mehnat riyazat jehd-e-paiham us ka maslak hai
use kya farq paDta hai
calender par nae hindson ki ek tariKH aane se
december bit jaane se
naya ek sal aane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.