mewan ke liye ek nazm
paanī ko bhar lo haath meñ
āñkhoñ meñ bhar lo rang
phūloñ se khelte hue
miTTī ko chuum lo
bāteñ karo daraḳhtoñ se
jhūmo havā ke sang
dil se ik ek ḳhauf ko
yaksar nikāl do
anjān rastoñ par chalo
ghūmo jahān meñ
chāhe uḌaan bhar lo
khule āsmān meñ
ta.abīr paao
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāb kī
imkān se bharī huī
duniyā hai sāmne
pani ko bhar lo hath mein
aankhon mein bhar lo rang
phulon se khelte hue
miTTi ko chum lo
baaten karo daraKHton se
jhumo hawa ke sang
dil se ek ek KHauf ko
yaksar nikal do
anjaan raston par chalo
ghumo jahan mein
chahe uDan bhar lo
khule aasman mein
tabir pao
jagti aankhon ke KHwab ki
imkan se bhari hui
duniya hai samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.