mearaj-e-nazar
insān ke parde meñ ḳhudā dekh rahā huuñ
maiñ zarf-e-nazar se bhī sivā dekh rahā huuñ
ahbāb meñ kam rang-e-vafā dekh rahā huuñ
ye vāqi.a sunñā to kujā dekh rahā huuñ
pahle to na thī fursat-e-nazzāra na dekhā
haañ ab to zarā parda uThā dekh rahā huuñ
jab tū nahīñ maujūd to kyā khel hai duniyā
din-rāt maiñ ye ḳhvāb sā kyā dekh rahā huuñ
kyā jāniye kyā hogī haqīqat meñ tajallī
ye aks agar jalva-numā dekh rahā huuñ
phir hone ko hai dil pe ġham-e-tāza kī yūrish
phir Duubī huī nabz-e-fazā dekh rahā huuñ
naqqāsh-e-azal maiñ tirī jiddat ke tasadduq
har naqsh se har naqsh judā dekh rahā huuñ
nazreñ haiñ mirī markaz-e-anvār pe qaa.em
taḳhlīq-e-do-ālam kī binā dekh rahā huuñ
ik tere na hone se haiñ be-rang manāzir
har saaz ko mahrūm-e-sadā dekh rahā huuñ
kaunain ko fitrat ne sañvārā to hai lekin
is aa.ine meñ aks-e-fanā dekh rahā huuñ
mere liye har barq hai tamhīd-e-nazāra
maiñ maut ke dāman meñ baqā dekh rahā huuñ
haiñ be-ḳhudī-e-shauq meñ be-parda do-ālam
har chiiz ko maiñ apne sivā dekh rahā huuñ
shā.ir kī nazar se unheñ dekhe koī 'naḳhshab'
maiñ kaise batā.ūñ ki maiñ kyā dekh rahā huuñ
insan ke parde mein KHuda dekh raha hun
main zarf-e-nazar se bhi siwa dekh raha hun
ahbab mein kam rang-e-wafa dekh raha hun
ye waqia sunna to kuja dekh raha hun
pahle to na thi fursat-e-nazzara na dekha
han ab to zara parda uTha dekh raha hun
jab tu nahin maujud to kya khel hai duniya
din-raat main ye KHwab sa kya dekh raha hun
kya jaaniye kya hogi haqiqat mein tajalli
ye aks agar jalwa-numa dekh raha hun
phir hone ko hai dil pe gham-e-taza ki yurish
phir Dubi hui nabz-e-faza dekh raha hun
naqqash-e-azal main teri jiddat ke tasadduq
har naqsh se har naqsh juda dekh raha hun
nazren hain meri markaz-e-anwar pe qaem
taKHliq-e-do-alam ki bina dekh raha hun
ek tere na hone se hain be-rang manazir
har saz ko mahrum-e-sada dekh raha hun
kaunain ko fitrat ne sanwara to hai lekin
is aaine mein aks-e-fana dekh raha hun
mere liye har barq hai tamhid-e-nazara
main maut ke daman mein baqa dekh raha hun
hain be-KHudi-e-shauq mein be-parda do-alam
har chiz ko main apne siwa dekh raha hun
shair ki nazar se unhen dekhe koi 'naKHshab'
main kaise bataun ki main kya dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.