meayar-e-sukun
mahāz-e-jang se lauTe hue sipāhī se
jo pūchhiye ki hai bachchoñ kā shor-o-ġhauġhā kyā
to vo kahegā ki ye shor hai sukūñ kā amiiñ
sivā.e is ke hai rāhat kī aur duniyā kyā
magar clerk jo daftar se shaam ko lauTe
isī savāl kā shāyad javāb ye degā
sukūn-e-qalb kā dushman ye gul-ġhapāḌā hai
ye rog vo hai jo ik roz jaan le legā
mahaz-e-jang se lauTe hue sipahi se
jo puchhiye ki hai bachchon ka shor-o-ghaugha kya
to wo kahega ki ye shor hai sukun ka amin
siwae is ke hai rahat ki aur duniya kya
magar clerk jo daftar se sham ko lauTe
isi sawal ka shayad jawab ye dega
sukun-e-qalb ka dushman ye gul-ghapaDa hai
ye rog wo hai jo ek roz jaan le lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.