phailī dhartī ke siine pe jañgal bhī haiñ lahlahāte hue
aur dariyā bhī haiñ duur jaate hue
aur parbat bhī haiñ apnī chup meñ magan
aur sāgar bhī haiñ josh khāte hue
un pe chhāyā huā niilā ākāsh hai
niile ākāsh meñ nuur laate hue din ko sūraj bhī hai
shaam jaane pe hai chāñd se sāmnā
raat aane pe nanhe sitāre bhī haiñ jhilmilāte hue
aur kuchh bhī nahīñ
ab tak aa.ī na ā.inda to aa.egī bas yahī baat hai
aur kuchh bhī nahīñ
ek tū ek maiñ duur hī duur haiñ
aaj tak duur hī duur har baat hotī rahī
duur hī duur jīvan guzar jā.egā
lahr se lahr Takrā.e kaise kaho
aur sāhil se chhū jaa.e kaise kaho
lahr ko lahr se duur kartī huī beach meñ saiñkaḌoñ aur lahreñ bhī haiñ
aur kuchh bhī nahīñ
chhā.ī mastī jo dil par mire bhuul kī
ek hī baat rah rah ke kahtā hai
ek hī dhyān ke dard meñ dil ko lazzat milī
aarzū kī kalī kab khilī
ek hī mauj par maiñ to bahtā rahā
ab tak aa.ī na ā.inda tū aa.egī
chāhe dhartī ke siine pe jañgal na huuñ
chāhe parbat na hoñ chāhe dariyā na hoñ chāhe sāgar na hoñ
niile ākāsh meñ chāñd-tāre na hoñ koī sūraj na ho
rāt-din hoñ na duniyā meñ shām-o-sahar
koī parvā nahīñ
ek hī dhyān hai
duur hī duur jīvan guzar jā.egā aur kuchh bhī nahīñ
phaili dharti ke sine pe jangal bhi hain lahlahate hue
aur dariya bhi hain dur jate hue
aur parbat bhi hain apni chup mein magan
aur sagar bhi hain josh khate hue
un pe chhaya hua nila aakash hai
nile aakash mein nur late hue din ko suraj bhi hai
sham jaane pe hai chand se samna
raat aane pe nanhe sitare bhi hain jhilmilate hue
aur kuchh bhi nahin
ab tak aai na aainda to aaegi bas yahi baat hai
aur kuchh bhi nahin
ek tu ek main dur hi dur hain
aaj tak dur hi dur har baat hoti rahi
dur hi dur jiwan guzar jaega
lahr se lahr Takrae kaise kaho
aur sahil se chhu jae kaise kaho
lahr ko lahr se dur karti hui beach mein sainkaDon aur lahren bhi hain
aur kuchh bhi nahin
chhai masti jo dil par mere bhul ki
ek hi baat rah rah ke kahta hai
ek hi dhyan ke dard mein dil ko lazzat mili
aarzu ki kali kab khili
ek hi mauj par main to bahta raha
ab tak aai na aainda tu aaegi
chahe dharti ke sine pe jangal na hun
chahe parbat na hon chahe dariya na hon chahe sagar na hon
nile aakash mein chand-tare na hon koi suraj na ho
raat-din hon na duniya mein sham-o-sahar
koi parwa nahin
ek hi dhyan hai
dur hi dur jiwan guzar jaega aur kuchh bhi nahin
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 25)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.