ek aayā gayā dūsrā aa.egā der se dekhtā huuñ yūñhī raat us kī guzar jā.egī
maiñ khaḌā huuñ yahāñ kis liye mujh ko kyā kaam hai yaad aatā nahīñ yaad bhī TimTimātā
huā ik diyā ban ga.ī jis kī ruktī huī aur jhijaktī huī har kiran be-sadā qahqaha hai
magar mere kānoñ ne kaise use sun liyā ek āñdhī chalī chal ke miT
bhī ga.ī aaj tak mere kānoñ meñ maujūd hai saa.eñ saa.eñ machaltī huī aur
ubaltī huī phailtī phailtī der se maiñ khaḌā huuñ yahāñ ek aayā gayā
dūsrā aa.egā raat us kī guzar jā.egī ek hañgāma barpā hai dekheñ jidhar
aa rahe haiñ ka.ī log chalte hue aur Tahalte hue aur rukte hue phir se
baḌhte hue aur lapakte hue aa rahe jā rahe haiñ idhar se udhar aur udhar se
idhar jaise dil meñ mire dhyān kī lahar se ek tūfān hai vaise āñkheñ
mirī dekhtī hī chalī jā rahī haiñ ki ik TimTimāte diye kī kiran zindagī ko phisalte
hue aur girte hue Dhab se zāhir kiye jā rahī hai mujhe dhyān
aatā hai ab tīrgī ik ujālā banī hai magar is ujāle se ristī chalī jā rahī
haiñ vo amrit kī būñdeñ jinheñ maiñ hathelī pe apnī sambhāle rahā huuñ hathelī
magar TimTimātā huā ik diyā ban ga.ī thī lapak se ujālā huā lau girī phir añdherā sā
chhāne lagā baiThtā baiThtā baiTh kar ek hī pal meñ uThtā huā jaise āñdhī ke
tīkhe thapeḌoñ se darvāze ke taaq khulte raheñ band hote raheñ
phaḌ.phaḌāte hue tā.ir-e-zaḳhm-ḳhurda kī mānind maiñ dekhtā hī rahā ek aayā
gayā dūsrā aa.egā soch aa.ī mujhe paañv baḌhne se inkār karte
ga.e maiñ khaḌā hī rahā dil meñ ik buuñd ne ye kahā raat yūñhī guzar jā.egī
dil kī ik buuñd ko aañkh meñ le ke maiñ dekhtā hī rahā phaḌ.phaḌāte hue taa.ir
zaḳhm-ḳhurda kī mānind darvāze ke taaq ik baar jab mil ga.e mujh ko āhista āhista
ehsās hone lagā ab ye zaḳhmī parinda na taḌpegā lekin mire dil ko har vaqt
taḌpā.egā maiñ hathelī pe apnī sambhāle rahūñgā vo amrit kī būñdeñ jinheñ aañkh
se merī risnā thā lekin mirī zindagī TimTimātā huā ik diyā ban ga.ī jis kī ruktī huī
aur jhijaktī huī har kiran be-sadā qahqaha hai ki is tīrgī meñ koī baat aisī nahīñ
jis ko pahle añdhere meñ dekhā ho maiñ ne safar ye ujāle añdhere kā chaltā
rahā hai to chaltā rahegā yahī rasm hai raah kī ek aayā gayā dūsrā
aa.egā raat aise guzar jā.egī TimTimāte sitāre batāte the raste kī
naddī bahī jā rahī hai bahe jā is uljhan se aise nikal jā koī sīdhā manzil pe jaatā
thā lekin ka.ī qāfile bhuul jaate the anjum ke daur-e-yagānā ke mub.ham ishāre magar vo
bhī chalte hue aur baḌhte hue shaam se pahle hī dekh lete the maqsūd kā band
darvāza khulne lagā hai magar maiñ khaḌā huuñ yahāñ mujh ko kyā kaam hai merā darvāza
khultā nahīñ hai mujhe phaile sahrā kī soī huī reg kā zarra zarra yahī kah rahā hai
ke aise ḳharābe meñ sūkhī hathelī hai ik aisā talvā ke jis ko kisī ḳhaar kī nok chubhne pe bhī
kah nahīñ saktī mujh ko koī buuñd apne lahū kī pilā do magar maiñ khaḌā huuñ yahāñ kis liye
kaam koī nahīñ hai to maiñ bhī in aate hue aur jaate hue ek do tiin
lākhoñ bagūloñ meñ mil kar yūñhī chalte chalte kahīñ Duub jaatā ke jaise yahāñ
bahtī lahroñ meñ kashtī har ek mauj ko thaam letī hai apnī hathelī ke phaile kañval
meñ mujhe dhyān aatā nahīñ hai ki is raah meñ to har ik jaane vaale ke bas
meñ hai manzil maiñ chal duuñ chalūñ aa.iye aa.iye aap kyuuñ is jagah
aise chup-chāp tanhā khaḌe haiñ agar aap kahiye to ham ik achhūtī sī Tahnī se
do phuul bas bas mujhe is kī koī zarūrat nahīñ hai maiñ ik
dost kā rāsta dekhtā huuñ magar vo chalā bhī gayā hai mujhe phir bhī
taskīn aatī nahīñ hai ki maiñ ek sahrā kā bāshinda mālūm hone lagā huuñ ḳhud
apnī nazar meñ mujhe ab koī band darvāza khultā nazar aa.e ye baat mumkin nahīñ hai
maiñ ik aur āñdhī kā mushtāq huuñ jo mujhe apne parde meñ yaksar chhupā le
mujhe ab ye mahsūs hone lagā hai suhānā samāñ jitnā bas meñ thā mere
vo sab ek bahtā sā jhoñkā banā hai jise haath mere nahīñ rok sakte
ki merī hathelī meñ amrit kī būñdeñ to baaqī nahīñ haiñ faqat ek phailā huā
ḳhushk be-barg be-rañg sahrā hai jis meñ ye mumkin nahīñ maiñ kahūñ
ek aayā gayā dūsrā aa.egā raat merī guzar jā.egī
ek aaya gaya dusra aaega der se dekhta hun yunhi raat us ki guzar jaegi
main khaDa hun yahan kis liye mujh ko kya kaam hai yaad aata nahin yaad bhi TimTimata
hua ek diya ban gai jis ki rukti hui aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai
magar mere kanon ne kaise use sun liya ek aandhi chali chal ke miT
bhi gai aaj tak mere kanon mein maujud hai saen saen machalti hui aur
ubalti hui phailti phailti der se main khaDa hun yahan ek aaya gaya
dusra aaega raat us ki guzar jaegi ek hangama barpa hai dekhen jidhar
aa rahe hain kai log chalte hue aur Tahalte hue aur rukte hue phir se
baDhte hue aur lapakte hue aa rahe ja rahe hain idhar se udhar aur udhar se
idhar jaise dil mein mere dhyan ki lahar se ek tufan hai waise aankhen
meri dekhti hi chali ja rahi hain ki ek TimTimate diye ki kiran zindagi ko phisalte
hue aur girte hue Dhab se zahir kiye ja rahi hai mujhe dhyan
aata hai ab tirgi ek ujala bani hai magar is ujale se risti chali ja rahi
hain wo amrit ki bunden jinhen main hatheli pe apni sambhaale raha hun hatheli
magar TimTimata hua ek diya ban gai thi lapak se ujala hua lau giri phir andhera sa
chhane laga baiThta baiThta baiTh kar ek hi pal mein uThta hua jaise aandhi ke
tikhe thapeDon se darwaze ke taq khulte rahen band hote rahen
phaDphaDate hue tair-e-zaKHm-KHurda ki manind main dekhta hi raha ek aaya
gaya dusra aaega soch aai mujhe panw baDhne se inkar karte
gae main khaDa hi raha dil mein ek bund ne ye kaha raat yunhi guzar jaegi
dil ki ek bund ko aankh mein le ke main dekhta hi raha phaDphaDate hue tair
zaKHm-KHurda ki manind darwaze ke taq ek bar jab mil gae mujh ko aahista aahista
ehsas hone laga ab ye zaKHmi parinda na taDpega lekin mere dil ko har waqt
taDpaega main hatheli pe apni sambhaale rahunga wo amrit ki bunden jinhen aankh
se meri risna tha lekin meri zindagi TimTimata hua ek diya ban gai jis ki rukti hui
aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai ki is tirgi mein koi baat aisi nahin
jis ko pahle andhere mein dekha ho main ne safar ye ujale andhere ka chalta
raha hai to chalta rahega yahi rasm hai rah ki ek aaya gaya dusra
aaega raat aise guzar jaegi TimTimate sitare batate the raste ki
naddi bahi ja rahi hai bahe ja is uljhan se aise nikal ja koi sidha manzil pe jata
tha lekin kai qafile bhul jate the anjum ke daur-e-yagana ke mubham ishaare magar wo
bhi chalte hue aur baDhte hue sham se pahle hi dekh lete the maqsud ka band
darwaza khulne laga hai magar main khaDa hun yahan mujh ko kya kaam hai mera darwaza
khulta nahin hai mujhe phaile sahra ki soi hui reg ka zarra zarra yahi kah raha hai
ke aise KHarabe mein sukhi hatheli hai ek aisa talwa ke jis ko kisi KHar ki nok chubhne pe bhi
kah nahin sakti mujh ko koi bund apne lahu ki pila do magar main khaDa hun yahan kis liye
kaam koi nahin hai to main bhi in aate hue aur jate hue ek do tin
lakhon bagulon mein mil kar yunhi chalte chalte kahin Dub jata ke jaise yahan
bahti lahron mein kashti har ek mauj ko tham leti hai apni hatheli ke phaile kanwal
mein mujhe dhyan aata nahin hai ki is rah mein to har ek jaane wale ke bas
mein hai manzil main chal dun chalun aaiye aaiye aap kyun is jagah
aise chup-chap tanha khaDe hain agar aap kahiye to hum ek achhuti si Tahni se
do phul bas bas mujhe is ki koi zarurat nahin hai main ek
dost ka rasta dekhta hun magar wo chala bhi gaya hai mujhe phir bhi
taskin aati nahin hai ki main ek sahra ka bashinda malum hone laga hun KHud
apni nazar mein mujhe ab koi band darwaza khulta nazar aae ye baat mumkin nahin hai
main ek aur aandhi ka mushtaq hun jo mujhe apne parde mein yaksar chhupa le
mujhe ab ye mahsus hone laga hai suhana saman jitna bas mein tha mere
wo sab ek bahta sa jhonka bana hai jise hath mere nahin rok sakte
ki meri hatheli mein amrit ki bunden to baqi nahin hain faqat ek phaila hua
KHushk be-barg be-rang sahra hai jis mein ye mumkin nahin main kahun
ek aaya gaya dusra aaega raat meri guzar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.