simaT kar kis liye nuqta nahīñ bantī zamīñ kah do
ye phailā āsmāñ us vaqt kyuuñ dil ko lubhātā thā
har ik samt ab anokhe log haiñ aur un kī bāteñ haiñ
koī dil se phisal jaatī koī siine meñ chubh jaatī
inhī bātoñ kī lahroñ par bahā jaatā hai ye bajrā
jise sāhil nahīñ miltā
maiñ jis ke sāmne aa.uuñ mujhe lāzim hai halkī muskurāhaT meñ kaheñ ye hoñT tum ko
jāntā huuñ dil kahe 'kab chāhtā huuñ maiñ'
inhī lahroñ pe bahtā huuñ mujhe sāhil nahīñ miltā
simaT kar kis liye nuqta nahīñ bantī zamīñ kah do
vo kaisī muskurāhaT thī bahan kī muskurāhaT thii, merā bhaa.ī bhī hañstā thā
vo hañstā thā bahan hañstī hai apne dil meñ kahtī hai
ye kaisī baat bhaa.ī ne kahī dekho vo ammāñ aur abbā ko hañsī aa.ī
magar yuuñ vaqt bahtā hai tamāshā ban gayā sāhil
mujhe sāhil nahīñ miltā
simaT kar kis liye nuqta nahīñ bantī zamīñ kah do
ye kaisā pher hai taqdīr kā ye pher to shāyad nahīñ lekin
ye phailā āsmāñ us vaqt kyuuñ dil ko lubhātā hai
hayāt-e-muḳhtasar sab kī bahī jaatī hai aur maiñ bhī
har ik ko dekhtā huuñ muskurātā hai ki hañstā hai
koī hañstā nazar aa.e koī rotā nazar aa.e
maiñ sab ko dekhtā huuñ dekh kar ḳhāmosh rahtā huuñ
mujhe sāhil nahīñ miltā!
simaT kar kis liye nuqta nahin banti zamin kah do
ye phaila aasman us waqt kyun dil ko lubhata tha
har ek samt ab anokhe log hain aur un ki baaten hain
koi dil se phisal jati koi sine mein chubh jati
inhi baaton ki lahron par baha jata hai ye bajra
jise sahil nahin milta
main jis ke samne aaun mujhe lazim hai halki muskurahaT mein kahen ye honT tum ko
jaanta hun dil kahe 'kab chahta hun main'
inhi lahron pe bahta hun mujhe sahil nahin milta
simaT kar kis liye nuqta nahin banti zamin kah do
wo kaisi muskurahaT thi bahan ki muskurahaT thi, mera bhai bhi hansta tha
wo hansta tha bahan hansti hai apne dil mein kahti hai
ye kaisi baat bhai ne kahi dekho wo amman aur abba ko hansi aai
magar yun waqt bahta hai tamasha ban gaya sahil
mujhe sahil nahin milta
simaT kar kis liye nuqta nahin banti zamin kah do
ye kaisa pher hai taqdir ka ye pher to shayad nahin lekin
ye phaila aasman us waqt kyun dil ko lubhata hai
hayat-e-muKHtasar sab ki bahi jati hai aur main bhi
har ek ko dekhta hun muskuraata hai ki hansta hai
koi hansta nazar aae koi rota nazar aae
main sab ko dekhta hun dekh kar KHamosh rahta hun
mujhe sahil nahin milta!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.