raat añdherī ban hai suunā koī nahīñ hai saath
pavan jhakole peḌ hilā.eñ thar-thar kāñpeñ paat
dil meñ Dar kā tiir chubhā hai siine par hai haath
rah rah kar sochūñ yuuñ kaise puurī hogī raat
barkhā-rut hai aur javānī lahroñ kā tūfān
pītam hai nādān mirā dil rasmoñ se anjān
koī nahīñ jo baat sujhā.e kaise hoñ sāmān
bhagvan mujh ko raah dikhā de mujh ko de de gyaan
chappū TuuTe naav purānī duur hai khevan-hār
bairī haiñ naddī kī maujeñ aur pītam us paar
sun le sun ke dukh meñ pukāre ik paremī bechārā
kaise jā.ūñ kaise pahuñchūñ kaise jatā.ūñ pyaar
kaise apne dil se miTā.ūñ birah agan kā rog
kaise sujhā.ūñ prem pahelī kaise karūñ sanjog
baat kī ghaḌiyāñ biit na jaa.eñ duur hai us kā des
duur des hai pītam kā aur maiñ badle huuñ bhes
raat andheri ban hai suna koi nahin hai sath
pawan jhakole peD hilaen thar-thar kanpen pat
dil mein Dar ka tir chubha hai sine par hai hath
rah rah kar sochun yun kaise puri hogi raat
barkha-rut hai aur jawani lahron ka tufan
pitam hai nadan mera dil rasmon se anjaan
koi nahin jo baat sujhae kaise hon saman
bhagwan mujh ko rah dikha de mujh ko de de gyan
chappu TuTe naw purani dur hai khewan-haar
bairi hain naddi ki maujen aur pitam us par
sun le sun ke dukh mein pukare ek paremi bechaara
kaise jaun kaise pahunchun kaise jataun pyar
kaise apne dil se miTaun birah agan ka rog
kaise sujhaun prem paheli kaise karun sanjog
baat ki ghaDiyan bit na jaen dur hai us ka des
dur des hai pitam ka aur main badle hun bhes
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.