megh dut
sansanāhaToñ ke saath
gaḌgaḌāhaToñ ke saath
aa gayā!
pavan-rath pe baiTh kar
merā megh devtā
dosh par havāoñ ke
baal uḌātā huā
us kā jāmunī badan
āsmāñ pe chhā gayā
duur tak garaj huī
zamīñ dahalne lagī
āsmāñ simaT gayā
baḌī ghan-garaj ke saath
TuuT kar baras paḌā
aur maiñ aañkh muuñd kar
haath pasāre hue
dauḌtī chalī ga.ī
añg se lagā rahī
niil us ke añg kā
maiñ ki bint-e-jijr huuñ
mujh meñ aisī pyaas hai
maiñ ki mere vāste
vasl bhī firāq hai
mujh meñ aisī aag hai
megh-ras meñ bhiig kar
hāñptī khaḌī khaḌī
kah rahā hai dil merā
yahī hai
madhur milan kī ghaḌī
sansanahaTon ke sath
gaDgaDahaTon ke sath
aa gaya!
pawan-rath pe baiTh kar
mera megh dewta
dosh par hawaon ke
baal uData hua
us ka jamuni badan
aasman pe chha gaya
dur tak garaj hui
zamin dahalne lagi
aasman simaT gaya
baDi ghan-garaj ke sath
TuT kar baras paDa
aur main aankh mund kar
hath pasare hue
dauDti chali gai
ang se laga rahi
nil us ke ang ka
main ki bint-e-jijr hun
mujh mein aisi pyas hai
main ki mere waste
wasl bhi firaq hai
mujh mein aisi aag hai
megh-ras mein bhig kar
hanpti khaDi khaDi
kah raha hai dil mera
yahi hai
madhur milan ki ghaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.