mehman-e-KHosusi
ek din hazrat-e-hāfiz ne ye dekhā manzar
tauq-e-zarrīñ se muzayyan hai hama gardan-e-ḳhar
aur chhakḌe meñ jutā reñg rahā hai taazī
zaḳhm hī zaḳhm hai koḌe kā zi-sar tā-ba-kamar
the jau marhūm baḌe sāda-dil o nek-mizāj
''īñ-che shorīst'' kahā aur gire chakrā kar
vo to is ġham ko liye ḳhuld-e-barīñ meñ pahuñche
ka.ī sadiyoñ kā zamāne ne lagāyā chakkar
aaj ham par bhī magar jabr-e-nazāra hai vahī
vahī nairañg-e-tamāshā vahī nairañg-e-nazar
vo charā-gāh-e-siyāsat ho ki maidān-e-adab
tauq-e-zarrīñ hai vahī aur vahī gardan-e-ḳhar
iḳhtiyārāt kī kursī pe ḳhrān-e-farba
mutamakkin nazar aate haiñ ba-sad karr-o-farr
ek kursī pe kisī tarah uchak kar pahuñche
aur phir dhaḌ se khule kashf-o-karāmāt ke dar
phir to 'buqrāt' aur 'arastū'-e-zamāna haiñ vo
ilm o hikmat meñ nahīñ phir koī un kā ham-sar
phir to sahrā-e-jahālat bhī hai dariyā-e-ulūm
phir to is be-hunarī meñ bhī haiñ sau sau jauhar
ḳhvāh do harf bhī ta.alīm na hāsil kī ho
tauq-e-zarrīñ ke karishme se bane dānish-var
koī jalsa ho vo ''mehmān-e-ḳhosūsī'' hoñge
koī mauqa.a ho dhaḌalle se vo deñge lecture
vo zamīñ ke hoñ masā.il ke ḳhalā kī bāteñ
misl-e-miqrāz zabāñ chaltī rahegī far-far
aalim o fāzil o dānish-var o ahl-e-hikmat
sab nazar ā.eñge qadmoñ pe jhukā.e hue sar
tauq-e-zarrīñ kā jo is ko na karishma kahiye
nātiqa sar-ba-girebāñ ki ise kyā kahiye
ek din hazrat-e-hafiz ne ye dekha manzar
tauq-e-zarrin se muzayyan hai hama gardan-e-KHar
aur chhakDe mein juta reng raha hai tazi
zaKHm hi zaKHm hai koDe ka zi-sar ta-ba-kamar
the jau marhum baDe sada-dil o nek-mizaj
in-che shorist kaha aur gire chakra kar
wo to is gham ko liye KHuld-e-barin mein pahunche
kai sadiyon ka zamane ne lagaya chakkar
aaj hum par bhi magar jabr-e-nazara hai wahi
wahi nairang-e-tamasha wahi nairang-e-nazar
wo chara-gah-e-siyasat ho ki maidan-e-adab
tauq-e-zarrin hai wahi aur wahi gardan-e-KHar
iKHtiyaraat ki kursi pe KHran-e-farba
mutamakkin nazar aate hain ba-sad karr-o-farr
ek kursi pe kisi tarah uchak kar pahunche
aur phir dhaD se khule kashf-o-karamat ke dar
phir to 'buqraat' aur 'arastu'-e-zamana hain wo
ilm o hikmat mein nahin phir koi un ka ham-sar
phir to sahra-e-jahaalat bhi hai dariya-e-ulum
phir to is be-hunari mein bhi hain sau sau jauhar
KHwah do harf bhi talim na hasil ki ho
tauq-e-zarrin ke karishme se bane danish-war
koi jalsa ho wo mehman-e-KHosusi honge
koi mauqa ho dhaDalle se wo denge lecture
wo zamin ke hon masail ke KHala ki baaten
misl-e-miqraaz zaban chalti rahegi far-far
aalim o fazil o danish-war o ahl-e-hikmat
sab nazar aaenge qadmon pe jhukae hue sar
tauq-e-zarrin ka jo is ko na karishma kahiye
natiqa sar-ba-gireban ki ise kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.