mehman
us ko ik din to jaanā thā
mujh se kyā rishta kyā naatā
bas pal-do-pal ko Thahrā thā
pal-do-pal hañste guzrā thā
maiñ tab bhī sochā kartī thī
ye saath baḌā lamhātī hai
jazbe kī thoḌī sī garmī
jalte chhāle ban jaatī hai
is baat ko biite saal hue
phir duniyā hai pahle jaisī
sab rang vahī ra.anā.ī vahī
sab husn vahī par kyā kiije
sachche the mire sab andeshe
ab bhī yuuñ hī baiThe-baiThe
yaad aa.e to dil dukh jaatā hai
us ko ek din to jaana tha
mujh se kya rishta kya nata
bas pal-do-pal ko Thahra tha
pal-do-pal hanste guzra tha
main tab bhi socha karti thi
ye sath baDa lamhati hai
jazbe ki thoDi si garmi
jalte chhaale ban jati hai
is baat ko bite sal hue
phir duniya hai pahle jaisi
sab rang wahi ranai wahi
sab husn wahi par kya kije
sachche the mere sab andeshe
ab bhi yun hi baiThe-baiThe
yaad aae to dil dukh jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.