mehnati log
enginēr
likh paḌh ke maiñ to ik din
ahl-e-hunar banūñgā
chāhā agar ḳhudā ne
enginēr banūñgā
hogī mire hunar se ta.amīr is vatan kī
jāgegī mere fan se taqdīr is vatan kī
chaltī raheñ mashīneñ san.at tamām chamke
jis tarah sub.h chamke vaise hī shaam chamke
ahl-e-hunar banūñgā
enginēr banūñgā
doctor
jise taklīf meñ pā.ūñ
use ārām pahuñchā.ūñ
jahāñ ġham kā añdherā ho
ḳhushī kī raushnī lā.ūñ
jahāñ aañsū baraste hoñ
hañsī us ghar meñ bikhrā.ūñ
duā hai doctor ban kar
dukhī logoñ ke kaam aa.uuñ
vatan kā sipāhī
vatan kā bahādur sipāhī banūñ
shujā.at kī duniyā kā raahī banūñ
left right left
left right left
vatan meñ jahāñ ho zarūrat mirī
vahīñ kaam aa.e shujā.at mirī
dilerī kā maiñ sab ko paiġhām duuñ
jo mushkil ho vo kaam anjām duuñ
hamesha taraqqī kī rāhoñ meñ ham
chaleñ sāthiyoñ se milā ke qadam
left right left
left right left
teacher
nā chāñdī nā sonā chāhūñ
maiñ to teacher honā chāhūñ
hāsil jo ta.alīm karūñ maiñ
sab meñ use taqsīm karūñ maiñ
nanhe munne bachche aa.eñ
ilm kī daulat lete jaa.eñ
kam na ho ye taqsīm kiye se
jaltā ho jaise diyā diye se
pilot
bulandī pe jā ke safar karne vaalā
havā-bāz ūñchā havā-bāz a.alā
vo runway pe aayā jo Take-off karne
to sūraj ne pahnā.ī kirnoñ kī maalā
passenger haiñ sīToñ pe be-fikr baiThe
uḌaa.e liye jā rahā hai jiyālā
hamārī umañgoñ se kyā kah rahā hai
fazāoñ meñ uḌtā huā ye ujālā
vakīl
insāf kī shaan dikhā.ūñ
insāf kā rañg jamā.ūñ
mazlūm se ho hamdardī
zālim ko sazā dilvā.ūñ
mujrim ke kaale dil meñ
qānūn kī sham.a jalā.ūñ
har baat meñ sab se aage
insāf kī baat baḌhā.ūñ
insāf kī shaan dikhā.ūñ
insāf kā rañg jamā.ūñ
haarī
sochā hai maiñ ne
haarī banūñgā
khetoñ meñ jhūmūñ
gandum ugā ke
dhartī ko chūmūñ
fasleñ sajā ke
saare vatan ko
ḳhush-hāl kar duuñ
ḳhushiyoñ se sab ke
dāman ko bhar duuñ
haarī banūñgā
engineer
likh paDh ke main to ek din
ahl-e-hunar banunga
chaha agar KHuda ne
engineer banunga
hogi mere hunar se tamir is watan ki
jagegi mere fan se taqdir is watan ki
chalti rahen mashinen sanat tamam chamke
jis tarah subh chamke waise hi sham chamke
ahl-e-hunar banunga
engineer banunga
doctor
jise taklif mein paun
use aaram pahunchaun
jahan gham ka andhera ho
KHushi ki raushni laun
jahan aansu baraste hon
hansi us ghar mein bikhraun
dua hai doctor ban kar
dukhi logon ke kaam aaun
watan ka sipahi
watan ka bahadur sipahi banun
shujaat ki duniya ka rahi banun
left right left
left right left
watan mein jahan ho zarurat meri
wahin kaam aae shujaat meri
dileri ka main sab ko paigham dun
jo mushkil ho wo kaam anjam dun
hamesha taraqqi ki rahon mein hum
chalen sathiyon se mila ke qadam
left right left
left right left
teacher
na chandi na sona chahun
main to teacher hona chahun
hasil jo talim karun main
sab mein use taqsim karun main
nanhe munne bachche aaen
ilm ki daulat lete jaen
kam na ho ye taqsim kiye se
jalta ho jaise diya diye se
pilot
bulandi pe ja ke safar karne wala
hawa-baz uncha hawa-baz aala
wo runway pe aaya jo Take-off karne
to suraj ne pahnai kirnon ki mala
passenger hain siTon pe be-fikr baiThe
uDae liye ja raha hai jiyala
hamari umangon se kya kah raha hai
fazaon mein uDta hua ye ujala
wakil
insaf ki shan dikhaun
insaf ka rang jamaun
mazlum se ho hamdardi
zalim ko saza dilwaun
mujrim ke kale dil mein
qanun ki shama jalaun
har baat mein sab se aage
insaf ki baat baDhaun
insaf ki shan dikhaun
insaf ka rang jamaun
haari
socha hai main ne
haari banunga
kheton mein jhumun
gandum uga ke
dharti ko chumun
faslen saja ke
sare watan ko
KHush-haal kar dun
KHushiyon se sab ke
daman ko bhar dun
haari banunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.