ba-har-hāl ehsān karte haiñ ham par
kabhī dostī se kabhī dushmanī se
kabhī jān-o-dil se kabhī be-dilī se
kabhī maut se aur kabhī zindagī se
ulajhte chale jaate haiñ har qadam par
ġhalat goī kī ma.azarat bhī kareñge
agar ittifāqan kabhī sāmnā ho
duā.eñ bhī le lo satā.ish bhī sun lo
numā.ish kī ḳhātir jiyeñge mareñge
chhupā.e hue āstīnoñ meñ kaale
koī ham-nafas hai koī ham-nashīñ hai
koī ḳhanda-rū hai koī mah-jabīñ hai
ye bātin añdhere ba-zāhir ujāle
hamāre bhī haiñ mehrbāñ kaise kaise
ba-har-haal ehsan karte hain hum par
kabhi dosti se kabhi dushmani se
kabhi jaan-o-dil se kabhi be-dili se
kabhi maut se aur kabhi zindagi se
ulajhte chale jate hain har qadam par
ghalat goi ki mazarat bhi karenge
agar ittifaqan kabhi samna ho
duaen bhi le lo sataish bhi sun lo
numaish ki KHatir jiyenge marenge
chhupae hue aastinon mein kale
koi ham-nafas hai koi ham-nashin hai
koi KHanda-ru hai koi mah-jabin hai
ye baatin andhere ba-zahir ujale
hamare bhi hain mehrban kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.