mehrban farsh par
ik muallaq ḳhalā meñ kahīñ nā-gahāñ
mehrbāñ farsh par paañv merā paḌā
maiñ ne dekhā khulā hai mire sāmne
zar-nigār o munaqqash bahut hī baḌā
ek dar ḳhvāb kā
mehrbāñ farsh ke
marmarīñ pattharoñ se huvaidā huā
aks mahtāb kā
maiñ ne haath apne aage baḌhā.e
aur us ko chhuā
ghanTiyāñ mere kānoñ meñ bajne lagīñ
jāvedāñ aur ġhinā.ī rifāqat ke mābain thā
merā sahrā-e-jāñ
ik muallaq ḳhalā meñ kahīñ nā-gahāñ
maiñ ne dekhā
mire shab-numā jism par
ik sitāra sī bārish ne lab rakh diyā
narm burrāq tarshe hue taaq par
jitnā zād-e-safar mere ham-rāh thā
maiñ ne sab rakh diyā
ab maiñ āzād thā
aur tilismīñ paḌāv kā har ism bhī yaad thā
maiñ ne dekhā
mire chaar jānib jhukā thā
piyāla-numā āsmāñ
merā mahram mirī saañs kā rāz-dāñ
ik muallaq ḳhalā meñ kahīñ nā-gahāñ
mehrbāñ farsh par paañv merā paḌā
maiñ ne dekhā khulā hai mire sāmne
zar-nigār o munaqqash bahut hī baḌā
ek dar ḳhvāb kā
ek muallaq KHala mein kahin na-gahan
mehrban farsh par panw mera paDa
main ne dekha khula hai mere samne
zar-nigar o munaqqash bahut hi baDa
ek dar KHwab ka
mehrban farsh ke
marmarin pattharon se huwaida hua
aks mahtab ka
main ne hath apne aage baDhae
aur us ko chhua
ghanTiyan mere kanon mein bajne lagin
jawedan aur ghinai rifaqat ke mabain tha
mera sahra-e-jaan
ek muallaq KHala mein kahin na-gahan
main ne dekha
mere shab-numa jism par
ek sitara si barish ne lab rakh diya
narm burraq tarshe hue taq par
jitna zad-e-safar mere ham-rah tha
main ne sab rakh diya
ab main aazad tha
aur tilismin paDaw ka har ism bhi yaad tha
main ne dekha
mere chaar jaanib jhuka tha
piyala-numa aasman
mera mahram meri sans ka raaz-dan
ek muallaq KHala mein kahin na-gahan
mehrban farsh par panw mera paDa
main ne dekha khula hai mere samne
zar-nigar o munaqqash bahut hi baDa
ek dar KHwab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.