mehwar
hamārī āñkhoñ meñ jalne vaale nuqūsh baaqī haiñ
kaan mausam kī garm aahaT se chauñk uThte haiñ
bhīgī miTTī kā lams fan ko nikhār detā hai
nursery ke purāne gamloñ meñ parvarish ke tamām ādāb
ḳhuub sajte haiñ
havā abhī tak hamāre peḌoñ kī sard shāḳhoñ meñ sarsarātī hai
hoñT hilte haiñ
aur gaa.ek hamāre vijdān kī shat aur athāh lahroñ meñ bah nikaltā hai
hamārī ma.asūm ātmāoñ kī jot dhartī pe jāgtī hai
hamārī mehvar pe ghūmtī hai
kyā huā jo hamārī duniyā meñ din kī nafrat
yā shab kā dhokā bhī hādisa hai hamāre alfāz kā
na koī tārīḳh sā.atoñ kī
na koī virsa na koī tahzīb
sab ġhalat hai
mufāhamat ke tamām bandhan bikhar chuke haiñ
hamārī āñkheñ hī dekhtī haiñ
aur koī āvāz hamārī tārīḳh kī hikāyat se māvarā hai
dimāġh patthar ugā rahe haiñ
hamari aankhon mein jalne wale nuqush baqi hain
kan mausam ki garm aahaT se chaunk uThte hain
bhigi miTTi ka lams fan ko nikhaar deta hai
nursery ke purane gamlon mein parwarish ke tamam aadab
KHub sajte hain
hawa abhi tak hamare peDon ki sard shaKHon mein sarsaraati hai
honT hilte hain
aur gaek hamare wijdan ki shat aur athah lahron mein bah nikalta hai
hamari masum aatmaon ki jot dharti pe jagti hai
hamari mehwar pe ghumti hai
kya hua jo hamari duniya mein din ki nafrat
ya shab ka dhoka bhi hadisa hai hamare alfaz ka
na koi tariKH saaton ki
na koi wirsa na koi tahzib
sab ghalat hai
mufahamat ke tamam bandhan bikhar chuke hain
hamari aankhen hi dekhti hain
aur koi aawaz hamari tariKH ki hikayat se mawara hai
dimagh patthar uga rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.