mehwar
qadam miTTī pe rakhtī ho
ki arsh uupar Thaharte haiñ
ki jab tum paañv dhartī ho
to dhartī ke jigar kī dhaḌkaneñ bhī āzmātī ho
bahāroñ meñ bikhartīñ to tumheñ bas DhūñDte phirte
magar tum rañg-o-bū ko apnā pas-manzar banātī ho
ḳhush-dilī ke qahqahe kī nuqra.ī ghanTī ke naġhmoñ kī khanak ke saath
saare manzaroñ par phail jaatī ho
vo saa.at jis meñ tum dam lo
zamāne kī har ik taqdīm se bāhar
koī phailā huā lamha Thahartī hai
vo sab goshe jahāñ tanhā.ī tum ko khīñch le jaa.e
vahīñ to reshmī nik.hat kī tanvīreñ bikhartī haiñ
ye tasvīreñ
ki jin meñ tum ne dekhā
log din ke haft-ḳhvāñ ko kāTte guzre
ye sab ḳhuuñ thūkte
zaḳhm apne apne chāTte insāñ
faqat us shaam kī aahaT pe jaate haiñ
jahāñ tum ho
qadam miTTi pe rakhti ho
ki arsh upar Thaharte hain
ki jab tum panw dharti ho
to dharti ke jigar ki dhaDkanen bhi aazmati ho
bahaaron mein bikhartin to tumhein bas DhunDte phirte
magar tum rang-o-bu ko apna pas-manzar banati ho
KHush-dili ke qahqahe ki nuqrai ghanTi ke naghmon ki khanak ke sath
sare manzaron par phail jati ho
wo saat jis mein tum dam lo
zamane ki har ek taqdim se bahar
koi phaila hua lamha Thaharti hai
wo sab goshe jahan tanhai tum ko khinch le jae
wahin to reshmi nikhat ki tanwiren bikharti hain
ye taswiren
ki jin mein tum ne dekha
log din ke haft-KHwan ko kaTte guzre
ye sab KHun thukte
zaKHm apne apne chaTte insan
faqat us sham ki aahaT pe jate hain
jahan tum ho
- Book : siip (Magzin) (Pg. 175)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.