mela
ādamiyoñ ke is maile meñ
vaqt kī uñglī pakḌe pakḌe
jaane kab se ghuum rahā huuñ
kabhī kabhī jī meñ aatā hai
is mele ko chhoḌ ke maiñ bhī
un TeḌhī rāhoñ par jā.ūñ
duur se jo sīdhī lagtī haiñ
lekin jaane kyuuñ ik saaya
rasta rok ke kah detā hai
vaqt ke saath na chalne vaale
marte dam tak pachhtāte haiñ
ādamiyoñ ke mele meñ phir
vāpas kabhī nahīñ aate haiñ
aadamiyon ke is maile mein
waqt ki ungli pakDe pakDe
jaane kab se ghum raha hun
kabhi kabhi ji mein aata hai
is mele ko chhoD ke main bhi
un TeDhi rahon par jaun
dur se jo sidhi lagti hain
lekin jaane kyun ek saya
rasta rok ke kah deta hai
waqt ke sath na chalne wale
marte dam tak pachhtate hain
aadamiyon ke mele mein phir
wapas kabhi nahin aate hain
- Book : Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 7)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aaftab Shamsi, Rampur (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.