Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meinopause

Ishrat Afreen

meinopause

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    ajiib ittilā.a thī vo

    jise maiñ ḳhud se na jaane kab se chhupā rahī thī

    ajab ḳhabar thī ki jis bābat

    maiñ ḳhud se sach bolte hue hichkichā rahī thī

    ajiib dukh thā

    ki jis ehsās jāgte

    maiñ apne mahram se

    apne hamdam se aise nazreñ churā rahī thī

    ki jaise mujh meñ kahīñ koī jurm ho gayā ho

    ajab ḳhabar thī

    jise mirā dil qubūl karne se munharif thā

    magar haqīqat mo'tarif thā

    ki shāḳh-e-jāñ par gulāb khilne ke mausamoñ ko

    vidā.a kahne sā.ateñ ab qarīb-tar haiñ

    qarīb-tar hai ki ḳhushk ho jā.eñge vo sote

    ki jin tah meñ

    hazār taḳhlīq ke ḳhazāne chhupe hue the

    vo āb-e-haivāñ

    vo imbisāt-o-hayāt be-kanār dariyā

    ki dafn ho jā.egā ḳhas-o-ḳhāk-e-roz-o-shab meñ

    yahāñ se umr-e-gurez-pā jo nikal paḌī aur rāste par

    to sochtī huuñ ki jaate jaate

    maiñ apne ḳhāliq se ye to pūchhūñ

    ḳhudā-e-sattār

    ismatoñ ko hazār pardoñ meñ rakhne vaale

    sifāt meñ terī adl bhī hai

    to phir mire

    aur mere mahram ke beach tafrīq sabab kyā

    vajūd kīmiyā-garī meñ

    ye bāñjh-pan itaab tanhā mire liye kyoñ

    ye ḳhushk-sālī aisā elān-e-ḳhās

    qaht-e-numū uryāñ azaab tanhā mire liye kyoñ

    ai mere sattār-o-kīmiyā-gar

    ye roz-o-shab azaab tanhā mire liye kyoñ

    ajib si ittilaa thi wo

    jise main KHud se na jaane kab se chhupa rahi thi

    ajab KHabar thi ki jis ki babat

    main KHud se sach bolte hue hichkicha rahi thi

    ajib dukh tha

    ki jis ka ehsas jagte hi

    main apne mahram se

    apne hamdam se aise nazren chura rahi thi

    ki jaise mujh mein kahin koi jurm ho gaya ho

    ajab KHabar thi

    jise mera dil qubul karne se munharif tha

    magar haqiqat ka mo'tarif tha

    ki shaKH-e-jaan par gulab khilne ke mausamon ko

    widaa kahne ki saaten ab qarib-tar hain

    qarib-tar hai ki KHushk ho jaenge wo sote

    ki jin ki tah mein

    hazar taKHliq ke KHazane chhupe hue the

    wo aab-e-haiwan

    wo imbisat-o-hayat ka be-kanar dariya

    ki dafn ho jaega KHas-o-KHak-e-roz-o-shab mein

    yahan se umr-e-gurez-pa jo nikal paDi aur raste par

    to sochti hun ki jate jate

    main apne KHaliq se ye to puchhun

    KHuda-e-sattar

    ismaton ko hazar pardon mein rakhne wale

    sifat mein teri adl bhi hai

    to phir mere

    aur mere mahram ke beach tafriq ka sabab kya

    wajud ki kimiya-gari mein

    ye banjh-pan ka itab tanha mere liye kyon

    ye KHushk-sali ka aisa elan-e-KHas

    qaht-e-numu ka uryan azab tanha mere liye kyon

    ai mere sattar-o-kimiya-gar

    ye roz-o-shab ka azab tanha mere liye kyon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now