mera chehra
ek qayāfe ke māhir ne mujh se kahā
gahrī chāleñ chalnā
aur duniyā ko dhoke meñ rakhnā
āsān nahīñ hai
lekin tū chāhe to ye kar saktā hai
terā chehra
ik hañsmukh
ahmaq
kā chehra hai
ek qayafe ke mahir ne mujh se kaha
gahri chaalen chalna
aur duniya ko dhoke mein rakhna
aasan nahin hai
lekin tu chahe to ye kar sakta hai
tera chehra
ek hansmukh
ahmaq
ka chehra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.