mera chhoTa bhai
nanhā-munnā pyārā pyārā merā chhoTā bhaa.ī hai
yā'nī sab kī aañkh kā taarā merā chhoTā bhaa.ī hai
bandar ban kar bhālū ban kar
sab ko naach dikhātā hai
galī galī kā ik ik bachcha
us kā saath nibhātā hai
āñgan āñgan shor machā kar
dil sab kā bahlātā hai
bowling karnā siikh gayā hai
bating karnā siikh gayā hai
chauke chhakke maar rahā hai
jiit rahā hai haar rahā hai
us kī sub.h hai us kī shaam
ghar ghar jaanā us kā kaam
ghar vāloñ kī jaan hai vo
ḳhud apnī pahchān hai vo
nanhā munnā pyārā pyārā merā chhoTā bhaa.ī hai
yā'nī sab kī aañkh kā taarā merā chhoTā bhaa.ī hai
nanha-munna pyara pyara mera chhoTa bhai hai
ya'ni sab ki aankh ka tara mera chhoTa bhai hai
bandar ban kar bhaalu ban kar
sab ko nach dikhata hai
gali gali ka ek ek bachcha
us ka sath nibhata hai
aangan aangan shor macha kar
dil sab ka bahlata hai
bowling karna sikh gaya hai
bating karna sikh gaya hai
chauke chhakke mar raha hai
jit raha hai haar raha hai
us ki subh hai us ki sham
ghar ghar jaana us ka kaam
ghar walon ki jaan hai wo
KHud apni pahchan hai wo
nanha munna pyara pyara mera chhoTa bhai hai
ya'ni sab ki aankh ka tara mera chhoTa bhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.