mera ghar mera virana
Interesting Fact
Selected from 'Kaghazi Pairahan)
dīdanī hai ye mirā ghar mirā vīrāna bhī
is guzargāh pe kuchh der Thahar jā sayyāh
mujh ko ma.alūm hai tū saarā jahāñ dekh chukā
haañ ufuq-tā-ba-ufuq saarī zamīñ dekhī hai
tū ne aivān bhī dekhe haiñ khañDar bhī dekhe
vādiyāñ dekhīñ pahāḌoñ kī jabīñ dekhī hai
merī duniyā meñ zarā dekh ki is duniyā ko
dekhne vāloñ ne ab tak kabhī dekhā hī nahīñ
maiñ fasāna huuñ koī chāhe to mujh ko likh le
par mirā haal kisī ne kabhī pūchhā hī nahīñ
tujh ko ai dost dikhā.ūñ ki kahāñ rahtā huuñ
ye vo ghar hai ki jo shāyad kabhī ho saktā thā ghar
tujh ko shāyad na nazar aa.e magar ye sach hai
is ke siine meñ haiñ poshīda mire la.al-o-gohar
ye zamīñ ujḌī huī TuuTī huī hai dīvār
par isī kokh meñ dhartī kī hai sarmāya mirā
maiñ jo is vaqt nazar aatā huuñ ye maiñ nahīñ huuñ
merī tasvīr hai dhundlā sā hai ye saaya mirā
mirī tasvīr kī āñkhoñ meñ basā hai ik shahr
is meñ haiñ ūñche mahal jo maiñ banā saktā thā
is meñ haiñ merī vo ḳhushiyāñ ki jo mil saktī thiiñ
is meñ hai merī vo manzil jo maiñ pā saktā thā
is meñ haiñ merī mohabbat ke vo saare armāñ
jin se mahrūm rahā merā ye bedār shabāb
is meñ haiñ merī kitābeñ ki jo likkhī na ga.iiñ
is meñ haiñ mere vo ash.ār nahīñ jin kā javāb
haañ yahīñ dafn haiñ vo saarī kitābeñ jin ko
zindagī detī jo fursat to maiñ likh saktā thā
isī miTTī meñ haiñ vo nazmeñ vo ġhazleñ merī
jin ko kahne koī detā to maiñ kah saktā thā
mere sayyāh bahut tū ne maqābir dekhe
sach kahā sadiyoñ meñ ik tāj-mahal bantā hai
haañ magar merī tarah roz hī insāñ koī
zinda rahne ke liye dahr meñ mar jaatā hai
didani hai ye mera ghar mera virana bhi
is guzargah pe kuchh der Thahar ja sayyah
mujh ko malum hai tu sara jahan dekh chuka
han ufuq-ta-ba-ufuq sari zamin dekhi hai
tu ne aiwan bhi dekhe hain khanDar bhi dekhe
wadiyan dekhin pahaDon ki jabin dekhi hai
meri duniya mein zara dekh ki is duniya ko
dekhne walon ne ab tak kabhi dekha hi nahin
main fasana hun koi chahe to mujh ko likh le
par mera haal kisi ne kabhi puchha hi nahin
tujh ko ai dost dikhaun ki kahan rahta hun
ye wo ghar hai ki jo shayad kabhi ho sakta tha ghar
tujh ko shayad na nazar aae magar ye sach hai
is ke sine mein hain poshida mere lal-o-gohar
ye zamin ujDi hui TuTi hui hai diwar
par isi kokh mein dharti ki hai sarmaya mera
main jo is waqt nazar aata hun ye main nahin hun
meri taswir hai dhundla sa hai ye saya mera
meri taswir ki aankhon mein basa hai ek shahr
is mein hain unche mahal jo main bana sakta tha
is mein hain meri wo KHushiyan ki jo mil sakti thin
is mein hai meri wo manzil jo main pa sakta tha
is mein hain meri mohabbat ke wo sare arman
jin se mahrum raha mera ye bedar shabab
is mein hain meri kitaben ki jo likkhi na gain
is mein hain mere wo ashaar nahin jin ka jawab
han yahin dafn hain wo sari kitaben jin ko
zindagi deti jo fursat to main likh sakta tha
isi miTTi mein hain wo nazmen wo ghazlen meri
jin ko kahne koi deta to main kah sakta tha
mere sayyah bahut tu ne maqabir dekhe
sach kaha sadiyon mein ek taj-mahal banta hai
han magar meri tarah roz hi insan koi
zinda rahne ke liye dahr mein mar jata hai
- Book : Intikhab-e-Kalam Khalil-ur-Rahman Azmi (Pg. 15)
- Author : shaheryaar
- Publication : Uttar Pradesh, Urdua Akademi, Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.