mera ji chahta hai
tumhāre reshmī bistar se utrūñ
mujhe utnī zamīñ de do jahāñ maiñ paañv rakh luuñ
zarā sā āsmāñ jis se maiñ apne sar ko Dhak luuñ
farāġhat kā koī lamha ki jis meñ
maiñ apne dil kī bikhrī ḳhvāhisheñ āñgan se chun kar
tumhāre dil kī almārī meñ rakkhūñ
tumhārī ḳhāk-e-pā meñ gum hue ḳhvāboñ ko DhūñDūñ
aur apne mushkbū takiye meñ bhar luuñ
tumhāre paañv se lipTī huī nazroñ ko kholūñ
zarā sā sar uThā kar āsmāñ kā rañg dekhūñ
tumhāre pyaar kī niilī fazā meñ zindagī-bhar
parinde kī tarah maiñ uḌtī jā.ūñ
mirā dil to bahut kuchh chāhtā hai
magar is dil kā kyā hai
tumhaare reshmi bistar se utrun
mujhe utni zamin de do jahan main panw rakh lun
zara sa aasman jis se main apne sar ko Dhak lun
faraghat ka koi lamha ki jis mein
main apne dil ki bikhri KHwahishen aangan se chun kar
tumhaare dil ki almari mein rakkhun
tumhaari KHak-e-pa mein gum hue KHwabon ko DhunDun
aur apne mushkbu takiye mein bhar lun
tumhaare panw se lipTi hui nazron ko kholun
zara sa sar uTha kar aasman ka rang dekhun
tumhaare pyar ki nili faza mein zindagi-bhar
parinde ki tarah main uDti jaun
mera dil to bahut kuchh chahta hai
magar is dil ka kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.