mera kaghaz kai janmon se safed hai
diyā bujhā do
ab añdhere se ḳhatra nahīñ
raushnī ke Dasne kā
imkān ziyāda hai
buḳhār kī hiddat meñ bahte vajūd par
ik vajd taarī ho gayā
taḌaptī ruuh se juḌā lā-shu.ūrī hāshiya dekh kar
sāñsoñ kī mahak badalne lagī
jism jalne kī badbū se uktā.e
kamre kī vahshat muñh chhupā.e
ik kone meñ baiThī aag
sard-gūñ hai
chīḳh kā daurāniya
raat ke āḳhirī pahar tak mahdūd thā
ḳhizāoñ kī majmūī hikmat-e-amalī
bahār shikast khātī dikhā.ī dī
din ke saa.e baḌhne lage
aur phir phuul ne ḳhud-kushī kī
jis meñ zindagī kī suuī nāchtī hai
vo lamha mar gayā hai
koī qahqaha gūñjtā huā samā.atoñ pe thappaḌ lagā
hañsne se vahshat bedār hone lagī
insānī āvāzoñ kī guuñj se duur bhāgtī
chanāb kināre ret par baiThī maiñ
kyā likhūñ
siyāhī surḳh hai aur
merā kāġhaz ka.ī janmoñ se safed hai
diya bujha do
ab andhere se KHatra nahin
raushni ke Dasne ka
imkan ziyaada hai
buKHar ki hiddat mein bahte wajud par
ek wajd tari ho gaya
taDapti ruh se juDa la-shuuri hashiya dekh kar
sanson ki mahak badalne lagi
jism jalne ki badbu se uktae
kamre ki wahshat munh chhupae
ek kone mein baiThi aag
sard-gun hai
chiKH ka dauraniya
raat ke aaKHiri pahar tak mahdud tha
KHizaon ki majmui hikmat-e-amali
bahaar shikast khati dikhai di
din ke sae baDhne lage
aur phir phul ne KHud-kushi ki
jis mein zindagi ki sui nachti hai
wo lamha mar gaya hai
koi qahqaha gunjta hua samaaton pe thappaD laga
hansne se wahshat bedar hone lagi
insani aawazon ki gunj se dur bhagti
chanab kinare ret par baiThi main
kya likhun
siyahi surKH hai aur
mera kaghaz kai janmon se safed hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.