mera koi dost nahin
chīḳheñ mujhe kabhī rihā nahīñ kartīñ
mujhe mālūm hai
har manzar meñ ek chīḳh chhupī hai
maiñ jahāñ bhī jaatā huuñ
koī na koī chīḳh mujhe pahchān letī hai
maiñ apnī ḳhāmoshī kī muḳhālif samt
ḳhauf-zada ho kar bhāgne lagtā huuñ
isī bokhalāhaT meñ chīḳhoñ ke ka.ī jhunD
mujhe bhiḌoñ kī tarah gher lete haiñ
bhāgte hue maiñ qabristān meñ pahuñch jaatā huuñ
jahāñ har qabr meñ ek chīḳh dafn hai
mujhe dekh kar
chīḳheñ mere gird havā meñ tairne lagī haiñ
aur mujh se chīḳh ban jaane kā mutālba kartī haiñ
baqā kī jañg laḌte hue
ab mere haath bāzuoñ se girne vaale haiñ
aur hārne ke liye merā koī dost nahīñ
maiñ mahsūs kar rahā huuñ
merā chīḳhoñ se bañdhā huā jism
jab gūñjne ke qarīb hogā
maiñ kisī ḳhushk dariyā ke kināre
surḳh rañg meñ luthḌī chīḳh banā lūñgā
aur miTTī merī qabr banāne meñ masrūf hogī
chiKHen mujhe kabhi riha nahin kartin
mujhe malum hai
har manzar mein ek chiKH chhupi hai
main jahan bhi jata hun
koi na koi chiKH mujhe pahchan leti hai
main apni KHamoshi ki muKHalif samt
KHauf-zada ho kar bhagne lagta hun
isi bokhalahaT mein chiKHon ke kai jhunD
mujhe bhiDon ki tarah gher lete hain
bhagte hue main qabristan mein pahunch jata hun
jahan har qabr mein ek chiKH dafn hai
mujhe dekh kar
chiKHen mere gird hawa mein tairne lagi hain
aur mujh se chiKH ban jaane ka mutalba karti hain
baqa ki jang laDte hue
ab mere hath bazuon se girne wale hain
aur haarne ke liye mera koi dost nahin
main mahsus kar raha hun
mera chiKHon se bandha hua jism
jab gunjne ke qarib hoga
main kisi KHushk dariya ke kinare
surKH rang mein luthDi chiKH bana lunga
aur miTTi meri qabr banane mein masruf hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.