mera munna
niiñd meñ mirā munnā
roz muskurātā hai
chuskiyāñ sī bhartā hai
aur khilkhilātā hai
niiñd meñ mirā munnā
ḳhvāb dekhtā hogā
duudh kī ka.ī nahreñ
ḳhvāb meñ bahī hoñgī
nanhe nanhe paudoñ par
toffiyāñ lagī hoñgī
cake ke makāñ hoñge
jin kī chhat pe makkhan kī
barf jam rahī hogī
chāñd hans rahā hogā
chāñdnī khilī hogī
nannhī-munnī chiḌiyā.eñ
niilī piilī guḌiyā.eñ
raqs kar rahī hoñgī
ek Taañg kā murġhā
baañg de rahā hogā
pichhle paañv par bhālū
nāchne lagā hogā
kaaTh kā hasīñ ghoḌā
hinhinā rahā hogā
jis pe baiTh kar munnā
muskurā rahā hogā
aur us kī ammāñ kī
pyaar se bharī āñkheñ
ek ek kone se
us ko dekhtī hoñgī
niiñd meñ mirā munnā
roz muskurātā hai
chuskiyāñ sī bhartā hai
aur khilkhilātā hai
niiñd meñ mirā munnā
chauñk chauñk paḌtā hai
haḌbaḌā sā jaatā hai
aur rone lagtā hai
niiñd meñ mirā munnā
ḳhvāb dekhtā hogā
ik ghanā ghanā jangal
ḳhvāb meñ rahā hogā
ūñche ūñche peḌoñ kī
phailī phailī shāḳhoñ par
saañp reñgte hoñge
sabz sabz pattoñ ke
narm narm bistar par
sher ūñghte hoñge
hāthiyoñ ke dal ke dal
lambī lambī sūñDoñ se
ghaas khā rahe hoñge
jhāḌiyoñ meñ chhup-chhup kar
kaale kaale ban-mānus
tiir pheñkte hoñge
haañ unhī darindoñ meñ
ho na ho mirā munnā
ghir ke rah gayā hogā
aur us kī ammāñ kī
ḳhauf se bharī āñkheñ
ek ek kone se
us ko dekhtī hoñgī
niiñd meñ mirā munnā
chauñk chauñk paḌtā hai
haḌbaḌā sā jaatā hai
aur rone lagtā hai
jaag kar mirā munnā
mujh ko paas paatā hai
merī god meñ aa kar
ronā bhuul jaatā hai
nind mein mera munna
roz muskuraata hai
chuskiyan si bharta hai
aur khilkhilata hai
nind mein mera munna
KHwab dekhta hoga
dudh ki kai nahren
KHwab mein bahi hongi
nanhe nanhe paudon par
toffiyan lagi hongi
cake ke makan honge
jin ki chhat pe makkhan ki
barf jam rahi hogi
chand hans raha hoga
chandni khili hogi
nannhi-munni chiDiyaen
nili pili guDiyaen
raqs kar rahi hongi
ek Tang ka murgha
bang de raha hoga
pichhle panw par bhaalu
nachne laga hoga
kaTh ka hasin ghoDa
hinhina raha hoga
jis pe baiTh kar munna
muskura raha hoga
aur us ki amman ki
pyar se bhari aankhen
ek ek kone se
us ko dekhti hongi
nind mein mera munna
roz muskuraata hai
chuskiyan si bharta hai
aur khilkhilata hai
nind mein mera munna
chaunk chaunk paDta hai
haDbaDa sa jata hai
aur rone lagta hai
nind mein mera munna
KHwab dekhta hoga
ek ghana ghana jangal
KHwab mein raha hoga
unche unche peDon ki
phaili phaili shaKHon par
sanp rengte honge
sabz sabz patton ke
narm narm bistar par
sher unghte honge
hathiyon ke dal ke dal
lambi lambi sunDon se
ghas kha rahe honge
jhaDiyon mein chhup-chhup kar
kale kale ban-manus
tir phenkte honge
han unhi darindon mein
ho na ho mera munna
ghir ke rah gaya hoga
aur us ki amman ki
KHauf se bhari aankhen
ek ek kone se
us ko dekhti hongi
nind mein mera munna
chaunk chaunk paDta hai
haDbaDa sa jata hai
aur rone lagta hai
jag kar mera munna
mujh ko pas pata hai
meri god mein aa kar
rona bhul jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.