mera nam
vo jo
apne ko merā harīf aur muqābil samajhte haiñ
in se kaho
dostī zindagī kā aTal faisla
āḳhirī hukm hai
aur is farz ko Tālnā
yā havas ke liye bech denā
mire dosto dushmano
jurm hai ik mazarrat-rasāñ jurm hai
mujh ko marġhūb hai zindagī
mujh ko mahbūb hai maut ke raaz ko faash kartī huī chāñdnī
aur mire saath hai
mah-vashoñ māh-pāroñ kā vo kārvāñ
jis ne zulmat ke lashkar ko paspā kiyā
har añdhere se ik chāñd paidā kiyā
aaj merā vatan
mere adā-nāz fikr-o-nazar kī tarah
shaad āzād o ābād rahne kī rāhoñ pe hai
nāriyal kī zamīñ kā nirālā nikhār
yaanī barg-e-ḳhizāñ-ḳhurda
hai sogvār
aarzū
nau-shagufta surūr-e-bahār
dil kī jānib nigāh mahtāb-dār
ajnabī maiñ nahīñ
naam pūchho mirā
maiñ tumhārī tamannā-e-hastī huuñ
shā.er
mirā naam hai
aur kuchh bhī nahīñ
aur
kuchh bhī nahīñ
vo jo apne ko merā harīf aur muqābil samajhte haiñ
un se kaho
dostī
zindagī kā aTal faisla
āḳhirī hukm hai
wo jo
apne ko mera harif aur muqabil samajhte hain
in se kaho
dosti zindagi ka aTal faisla
aaKHiri hukm hai
aur is farz ko Talna
ya hawas ke liye bech dena
mere dosto dushmano
jurm hai ek mazarrat-rasan jurm hai
mujh ko marghub hai zindagi
mujh ko mahbub hai maut ke raaz ko fash karti hui chandni
aur mere sath hai
mah-washon mah-paron ka wo karwan
jis ne zulmat ke lashkar ko paspa kiya
har andhere se ek chand paida kiya
aaj mera watan
mere ada-naz fikr-o-nazar ki tarah
shad aazad o aabaad rahne ki rahon pe hai
nariyal ki zamin ka nirala nikhaar
yani barg-e-KHizan-KHurda
hai sogwar
aarzu
nau-shagufta surur-e-bahaar
dil ki jaanib nigah mahtab-dar
ajnabi main nahin
nam puchho mera
main tumhaari tamanna-e-hasti hun
shaer
mera nam hai
aur kuchh bhi nahin
aur
kuchh bhi nahin
wo jo apne ko mera harif aur muqabil samajhte hain
un se kaho
dosti
zindagi ka aTal faisla
aaKHiri hukm hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.