mera nam paDa barsat
maiñ ne aisī jhaḌī lagā.ī
garmī chīḳhī aur chillā.ī
lekin maiñ ne zor dikhāyā
garmī ko phir maar bhagāyā
jaan meñ logoñ kī jaan aa.ī
mausam ne lī phir añgḌā.ī
bāñTī ḳhushiyoñ kī sauġhāt
merā naam paḌā barsāt
bijlī kaḌkī dil tharrāyā
bādal ne TukḌā hai girāyā
barse jhuum ke kaale bādal
dhuup ke ghar meñ paḌ ga.ī halchal
sakhiyoñ ne phir jhūle Daale
ghar se nikle bachche baale
hāthoñ meñ phir le kar haat
merā naam paḌā barsāt
jaise hī koī ghar se niklā
paañv vahīñ kīchaḌ meñ phislā
giit koī sāvan ke gaa.e
kisī ne ḳhuub pakauḌe khaa.e
Tap Tap Tapke chhat jo purānī
har shai ho ga.ī paanī paanī
utrī jab rim-jhim kī barāt
merā naam paḌā barsāt
main ne aisi jhaDi lagai
garmi chiKHi aur chillai
lekin main ne zor dikhaya
garmi ko phir mar bhagaya
jaan mein logon ki jaan aai
mausam ne li phir angDai
banTi KHushiyon ki saughat
mera nam paDa barsat
bijli kaDki dil tharraya
baadal ne TukDa hai giraya
barse jhum ke kale baadal
dhup ke ghar mein paD gai halchal
sakhiyon ne phir jhule Dale
ghar se nikle bachche baale
hathon mein phir le kar hat
mera nam paDa barsat
jaise hi koi ghar se nikla
panw wahin kichaD mein phisla
git koi sawan ke gae
kisi ne KHub pakauDe khae
Tap Tap Tapke chhat jo purani
har shai ho gai pani pani
utri jab rim-jhim ki baraat
mera nam paDa barsat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.