mera qalam
qalam ko mire ye qasam hai dilā.ī
na haq se kare bhuul kar bevafā.ī
hai jamhūr kī bas amānat qalam ye
na masnad kī qurbat ise raas aa.ī
tasanno' se nafrat hai mere qalam ko
‘alāmat mire she'r kī be-riyā.ī
hai iz.hār kī ḳhuub jur.at qalam meñ
hai pur-ḳhām go merī naġhma-sarā.ī
maiñ ashkoñ meñ ḳhūn-e-jigar huuñ milātā
bane tab qalam kī mire raushnā.ī
mirā saath de ai qalam tū vahāñ tak
taḳhayyul kī mere jahāñ tak rasā.ī
'sadā' lauh chhin jaa.e TuuTe qalam bhī
lage jo kabhī ‘illat-e-ḳhud-satā.ī
qalam ko mere ye qasam hai dilai
na haq se kare bhul kar bewafai
hai jamhur ki bas amanat qalam ye
na masnad ki qurbat ise ras aai
tasanno' se nafrat hai mere qalam ko
‘alamat mere she'r ki be-riyai
hai izhaar ki KHub jurat qalam mein
hai pur-KHam go meri naghma-sarai
main ashkon mein KHun-e-jigar hun milata
bane tab qalam ki mere raushnai
mera sath de ai qalam tu wahan tak
taKHayyul ki mere jahan tak rasai
'sada' lauh chhin jae TuTe qalam bhi
lage jo kabhi ‘illat-e-KHud-satai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.