mera safar qadam qadam
niklā huuñ ḳhud ko DhūñDne is kā magar hai mujh ko ġham
rāh-e-junūñ darāz hai merā safar qadam qadam
mujh ko ḳhabar nahīñ ki yaañ kitne luTe haiñ kārvāñ
kitnī girī haiñ bijliyāñ kitne jale haiñ āshiyāñ
chaak hai parda-e-vajūd phir bhī koī mirā nahīñ
kaun hai jis ke vāste hukm-e-sazā jazā nahīñ
ālam-e-āb-o-ḳhāk meñ merā zuhūr bhī hijāb
hashr meñ sab ke sāmne merā amal hai be-naqāb
merī tamām zindagī ma.arka-hā.e-ḳhair-o-shar
merī nigāh-e-arsh par maiñ kaf-e-ḳhāk-o-ḳhud-nigar
mere liye haiñ do jahāñ maiñ huuñ ḳhudā ke vāste
merā vajūd aa.ina ahl-e-safā ke vāste
jis meñ ki ḳhūb-o-zisht kā madd-o-jazar hai saaf saaf
manzar-e-dozaḳh-o-bahisht pesh-e-nazar hai saaf saaf
rāh-e-bad-o-rāh-e-najāt haiñ mere iḳhtiyār meñ
ġham haiñ magar ye rāste rañg-ba-rañg ġhubār meñ
hirs-o-havā kī Dher par apne qadam jamā ke rakh
teġh-e-zamāna tez hai sar ko bachā bachā ke rakh
kār-e-gah-e-hayāt meñ rakh le ḳhud apnī aabrū
terā maqām-e-bandagī kaam hai terā aarzū
ḳhud dil-o-jigar se kar jazb-e-darūñ kī parvarish
karte raheñ zamīr ko ishq ke naġhme murta.ish
sun le mire 'nadīm' sun 'iqbāl' ke thā dard-e-lab
ishq-e-tamām-e-mustafā aql-e-tamām bū-lahab
hāsil-e-ishq-e-mustafā un se nizām-e-kā.enāt
un ke baġhair shar.a-o-dīn but-kada-e-tasavvurāt
apnī ḳhudī kī oT se jalva-e-be-hijāb dekh
qalb-o-nazar ko paak rakh yaar ko be-naqāb dekh
nikla hun KHud ko DhunDne is ka magar hai mujh ko gham
rah-e-junun daraaz hai mera safar qadam qadam
mujh ko KHabar nahin ki yan kitne luTe hain karwan
kitni giri hain bijliyan kitne jale hain aashiyan
chaak hai parda-e-wajud phir bhi koi mera nahin
kaun hai jis ke waste hukm-e-saza jaza nahin
aalam-e-ab-o-KHak mein mera zuhur bhi hijab
hashr mein sab ke samne mera amal hai be-naqab
meri tamam zindagi marka-hae-KHair-o-shar
meri nigah-e-arsh par main kaf-e-KHak-o-KHud-nigar
mere liye hain do jahan main hun KHuda ke waste
mera wajud aaina ahl-e-safa ke waste
jis mein ki KHub-o-zisht ka madd-o-jazar hai saf saf
manzar-e-dozaKH-o-bahisht pesh-e-nazar hai saf saf
rah-e-bad-o-rah-e-najat hain mere iKHtiyar mein
gham hain magar ye raste rang-ba-rang ghubar mein
hirs-o-hawa ki Dher par apne qadam jama ke rakh
tegh-e-zamana tez hai sar ko bacha bacha ke rakh
kar-e-gah-e-hayat mein rakh le KHud apni aabru
tera maqam-e-bandagi kaam hai tera aarzu
KHud dil-o-jigar se kar jazb-e-darun ki parwarish
karte rahen zamir ko ishq ke naghme murtaish
sun le mere 'nadim' sun 'iqbaal' ke tha dard-e-lab
ishq-e-tamam-e-mustafa aql-e-tamam bu-lahab
hasil-e-ishq-e-mustafa un se nizam-e-kaenat
un ke baghair shara-o-din but-kada-e-tasawwuraat
apni KHudi ki oT se jalwa-e-be-hijab dekh
qalb-o-nazar ko pak rakh yar ko be-naqab dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.