mera sansar
chalo na aaj tumheñ ek kahānī sunātī huuñ
kahānī ke saath kuchh aur bhī batātī huuñ
pyaar karne se ziyāda use nibhānā sikhātī huuñ
saath hī apnī zindagī batātī huuñ
maañ paapā bahut ḳhush the mere aane par
na jaane kyuuñ phir daada daadī kā chehra nahīñ khilā thā
jab mere haq meñ paapā ne unheñ samjhāyā
tabhī to mujhe merā hero milā thā
maañ kā duudh paapā kā pyaar
yahī to thā merā sansār
jab bhī chalne kī koshish kartī
unhī kī uñglī pakaḌtī
Dar lagne par phir unhī se jā chipaktī
hañsnā bhī unhī se thā har baar
aur bas yahī thā merā sansār
thoḌī baḌī huī to schōl jaisā kuchh milā
mujh jaise bahut the vahāñ vahī kapḌe vahī juute
kuchh sachche kuchh jhūThe
unhīñ meñ se kuchh bane dost yaar
aur baḌā ho gayā merā sansār
yuuñ hī maiñ baḌhtī ga.ī
sapnoñ kī sīḌhiyāñ chaḌhtī ga.ī
hero mere super hero ban ga.e
baaqī sab to phir zero lagne lag ga.e
maañ se bhī thā merā pyaar
aur bas unhīñ donoñ se thā merā sansār
phir ek ghaḌī aisī aa.ī sab chīzeñ ho ga.ī parā.ī
unhīñ maañ baap ne to phir kar dī merī purvā.ī
ek rāj-kumār aaya thā ghoḌī chaḌh
ummīdeñ uchhalne lagīñ thī baḌh-chaḌh
ichchhā.ūñ ko milā thā ummīdoñ kā samundar
na.ī zindagī kī ḳhushī thī dil ke andar
piyā sañg na.e ghar jaanā thā
shādī to bas ek bahāna thā
janmoñ ke liye milne vaalā piyā kā pyaar thā
banñe vaalā ab vahī merā sansār thā
sasurāl thā ab merā nayā ghar ghar jaisā nahīñ thā yahāñ kuchh par
maañ baap bhaa.ī nahīñ the idhar the to bas saas sasur devar
pyaar dulār jo ghar pe miltā thā vo ab gum thā
aisā lagā maano shādī kā laDDū bas ek bharam thā
piyā ab patī ho gayā
apne kaam meñ itnā kho gayā
ke shādī ke pahle kā sab moh gayā
lagā jaise dil kah gayā
ke ab to bas bachche kā intizār rah gayā
phir ek din vo intizār rukā
mujhe bhī na.ī zindagī kā pata lagā
mujh se ziyāda vo ḳhush hue āḳhir ye un kā ansh thā
baḌhāne vaalā un kā ye vansh thā
merī pūchh hone lagī baar baar
badalne vaalā jo thā sab kā sansār
aa ga.ī phir vo ek ghaḌī
pata lagā vo bhī thī ek laḌkī
itnā hī to pata thā bas
phir na jaane kyuuñ na.ī the sab ḳhush
vo pūchh achānak taane ban ga.ī
imlī kī phalī niim kī chhaḌī ban ga.ī
koī chāhtā nahīñ thā mujh se phir ek maiñ aa.uuñ
sab kī zid thī maiñ garbh paat karā.ūñ
kyuuñ āḳhir kyuuñ
phir ek laḌkī se chhinne vaalā us kā ghar baar thā
kyā yahī mere sapno kā sansār thā
phir achānak ek hero lauT aaya
sab ko manāyā sab ko samjhāyā
us ne pitā hone kā farz nibhāyā
ab vo māñ-bāp sañg khel kartī kartī hai
dostoñ sañg uchhlā kuudā kartī hai
maañ se loriyāñ roz suntī hai
aaj kahānī sunñe lagī haiñ
laage us ke sañg saarī duniyā jagī hai
suntī hai kahānī ye raat kī raanī
aur sochtī hai
jaane kis din vo sūraj niklegā
jaane kis din ye āsmān khilegā
jab insān se insān kā hogā sachchā mel
jab TūTeñge sab moh ke dhāge
aur band hogā insānī duniyā meñ ye kaTh-putlī kā khel
jab maar kī jagah legā pyaar
aur sudharegā mere sapnoñ kā sansār
aur sudharegā mere sapnoñ kā sansār
chalo na aaj tumhein ek kahani sunati hun
kahani ke sath kuchh aur bhi batati hun
pyar karne se ziyaada use nibhana sikhati hun
sath hi apni zindagi batati hun
man papa bahut KHush the mere aane par
na jaane kyun phir dada dadi ka chehra nahin khila tha
jab mere haq mein papa ne unhen samjhaya
tabhi to mujhe mera hero mila tha
man ka dudh papa ka pyar
yahi to tha mera sansar
jab bhi chalne ki koshish karti
unhi ki ungli pakaDti
Dar lagne par phir unhi se ja chipakti
hansna bhi unhi se tha har bar
aur bas yahi tha mera sansar
thoDi baDi hui to school jaisa kuchh mila
mujh jaise bahut the wahan wahi kapDe wahi jute
kuchh sachche kuchh jhuThe
unhin mein se kuchh bane dost yar
aur baDa ho gaya mera sansar
yun hi main baDhti gai
sapnon ki siDhiyan chaDhti gai
hero mere super hero ban gae
baqi sab to phir zero lagne lag gae
man se bhi tha mera pyar
aur bas unhin donon se tha mera sansar
phir ek ghaDi aisi aai sab chizen ho gai parai
unhin man bap ne to phir kar di meri purwai
ek raj-kumar aaya tha ghoDi chaDh
ummiden uchhalne lagin thi baDh-chaDh
ichchhaun ko mila tha ummidon ka samundar
nai zindagi ki KHushi thi dil ke andar
piya sang nae ghar jaana tha
shadi to bas ek bahana tha
janmon ke liye milne wala piya ka pyar tha
banne wala ab wahi mera sansar tha
sasural tha ab mera naya ghar ghar jaisa nahin tha yahan kuchh par
man bap bhai nahin the idhar the to bas sas sasur dewar
pyar dular jo ghar pe milta tha wo ab gum tha
aisa laga mano shadi ka laDDu bas ek bharam tha
piya ab pati ho gaya
apne kaam mein itna kho gaya
ke shadi ke pahle ka sab moh gaya
laga jaise dil kah gaya
ke ab to bas bachche ka intizar rah gaya
phir ek din wo intizar ruka
mujhe bhi nai zindagi ka pata laga
mujh se ziyaada wo KHush hue aaKHir ye un ka ansh tha
baDhane wala un ka ye wansh tha
meri puchh hone lagi bar bar
badalne wala jo tha sab ka sansar
aa gai phir wo ek ghaDi
pata laga wo bhi thi ek laDki
itna hi to pata tha bas
phir na jaane kyun nai the sab KHush
wo puchh achanak tane ban gai
imli ki phali nim ki chhaDi ban gai
koi chahta nahin tha mujh se phir ek main aaun
sab ki zid thi main garbh pat karaun
kyun aaKHir kyun
phir ek laDki se chhinne wala us ka ghar bar tha
kya yahi mere sapno ka sansar tha
phir achanak ek hero lauT aaya
sab ko manaya sab ko samjhaya
us ne pita hone ka farz nibhaya
ab wo man-bap sang khel karti karti hai
doston sang uchhla kuda karti hai
man se loriyan roz sunti hai
aaj kahani sunne lagi hain
lage us ke sang sari duniya jagi hai
sunti hai kahani ye raat ki rani
aur sochti hai
jaane kis din wo suraj niklega
jaane kis din ye aasman khilega
jab insan se insan ka hoga sachcha mel
jab TuTenge sab moh ke dhage
aur band hoga insani duniya mein ye kaTh-putli ka khel
jab mar ki jagah lega pyar
aur sudharega mere sapnon ka sansar
aur sudharega mere sapnon ka sansar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.