mera watan
jahāñ kā chappa chappa gulsitāñ hai
jahāñ kī sar-zamīñ rashk-e-jināñ hai
tasadduq jis pe husn-e-āsmāñ hai
himāla jis kī azmat kā nishāñ hai
jahāñ gangā jahāñ jamunā ravāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ rangīn hotī haiñ fazā.eñ
basī rahtī haiñ ḳhushbū meñ havā.eñ
dikhāte haiñ pahāḌ aur ban adā.eñ
jahāñ jharne kī maujeñ gungunā.eñ
jahāñ nadiyoñ kā paanī kaif-e-jāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ chaupāl haiñ gaañv kī zīnat
jahāñ hai panghaToñ kī qadr-o-qīmat
barastī hai jahāñ khetoñ pe rahmat
jahāñ fasleñ haiñ khaliyānoñ kī daulat
jahāñ peḌoñ ke saa.e meñ amaañ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ sub.h-e-banaras hai misālī
avadh kī shaam hai shām-e-divālī
jahāñ hai 'mālva' kī shab nirālī
hai rājasthān kī rangat gulābī
jahāñ dilkash dakan kā har samāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ maz.hab ke gahvāre haiñ raushan
kalīsā aur gurudvāre haiñ raushan
masājid aur mīnāre haiñ raushan
jahāñ ke but-kade saare haiñ raushan
jahāñ sham-e-ibādat zau-fishāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ fan aur tahzībeñ amar haiñ
jahāñ qilā-o-qutub lutf-e-nazar haiñ
jahāñ tāj-o-ajantā jalva-gar haiñ
jahāñ kī ḳhushnumā shām-o-sahar haiñ
jahāñ har raah rāh-e-kahkashāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ 'rām'-o-'krishn'-o-'laxman' the
jahāñ miirā ke hoñToñ par bhajan the
jahāñ 'sūr' aur un ke kīrtan the
jahāñ 'rai-dās' bhagTī meñ magan the
jahāñ 'tulsī' the rāmā.en jahāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ ḳhvāja muīnuddīn aa.e
nizāmuddīm jis meñ jagmagā.e
jahāñ 'ras-ḳhān'-o-'ḳhusrau' gungunā.e
'kabīr'-o-'jā.isī' ne naġhme gaa.e
jahāñ 'ġhālib' kī fikr-e-jāvedāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ aurat ne kī hai hukmrānī
lahū se apne likkhī hai kahānī
jahāñ paidā huī 'jhāñsī' kī raanī
hai 'raziya' jis kī azmat kī nishānī
sunahrī jis kī har ik dāstāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahāñ muġhaloñ ne fan se raushnī kī
marāThoñ ne jahāñ tārīḳh likkhī
jo dhartī rājputoñ kī hai dhartī
shujā.at jis ko bundeloñ ne baḳhshī
jahāñ bañgāl kā azm-e-javāñ hai
vahī merā vatan hindostāñ hai
jahan ka chappa chappa gulsitan hai
jahan ki sar-zamin rashk-e-jinan hai
tasadduq jis pe husn-e-asman hai
himala jis ki azmat ka nishan hai
jahan ganga jahan jamuna rawan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan rangin hoti hain fazaen
basi rahti hain KHushbu mein hawaen
dikhate hain pahaD aur ban adaen
jahan jharne ki maujen gungunaen
jahan nadiyon ka pani kaif-e-jaan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan chaupal hain ganw ki zinat
jahan hai panghaTon ki qadr-o-qimat
barasti hai jahan kheton pe rahmat
jahan faslen hain khaliyanon ki daulat
jahan peDon ke sae mein aman hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan subh-e-banaras hai misali
awadh ki sham hai sham-e-diwali
jahan hai 'malwa' ki shab nirali
hai rajasthan ki rangat gulabi
jahan dilkash dakan ka har saman hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan mazhab ke gahware hain raushan
kalisa aur gurudware hain raushan
masajid aur minare hain raushan
jahan ke but-kade sare hain raushan
jahan sham-e-ibaadat zau-fishan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan fan aur tahziben amar hain
jahan qila-o-qutub lutf-e-nazar hain
jahan taj-o-ajanta jalwa-gar hain
jahan ki KHushnuma sham-o-sahar hain
jahan har rah rah-e-kahkashan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan 'ram'-o-'krishn'-o-'laxman' the
jahan mera ke honTon par bhajan the
jahan 'sur' aur un ke kirtan the
jahan 'rai-das' bhagTi mein magan the
jahan 'tulsi' the ramaen jahan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan KHwaja muinuddin aae
nizamuddim jis mein jagmagae
jahan 'ras-KHan'-o-'KHusrau' gungunae
'kabir'-o-'jaisi' ne naghme gae
jahan 'ghaalib' ki fikr-e-jawedan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan aurat ne ki hai hukmrani
lahu se apne likkhi hai kahani
jahan paida hui 'jhansi' ki rani
hai 'raziya' jis ki azmat ki nishani
sunahri jis ki har ek dastan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan mughalon ne fan se raushni ki
maraThon ne jahan tariKH likkhi
jo dharti rajputon ki hai dharti
shujaat jis ko bundelon ne baKHshi
jahan bangal ka azm-e-jawan hai
wahi mera watan hindostan hai
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 21)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.