mera watan yahi hai
ye dil kī rāheñ udaas kyoñ haiñ umiid ke qāfile kahāñ haiñ
ham apne kūchoñ meñ ajnabī haiñ ham apne hī ghar meñ mehmāñ haiñ
yahī hai markaz hamāre har ḳhvāb-e-ārzū kā
yahī vatan hai yahī hai maskan vafā ummīd-o-justujū kā
yahī vatan hai isī ke kūchoñ ne ḳhvāb-e-nau dekhne sikhā.e
isī ke zarroñ kī chāhatoñ ne
hamāre bachpan kī narm-o-nau-ḳhez ḳhvāhishoñ ko
javāñ ‘azā.im kī aañch baḳhshī
isī ke siine kī dhaḌkanoñ ne
hamāre dil ke ‘amīq goshoñ ko raushnī kī na.ī kiran dī
ham is kī godī kī rāhatoñ ko
yahāñ se Thukrā ke kaise jaate
ham is kī mamtā kā soz kho kar
sukūn-o-ārām kaise paate
us ajnabī des kī fazāoñ meñ dil kā āhang kaise miltā
un ajnabī vādiyoñ ke dāman meñ chaah ke phuul kaise khilte
ye vārdāteñ ye naqsh-e-ulfat agar kahīñ hai to bas yahāñ haiñ
asāḌh ke halke halke bādal
jhaḌī vo bhādoñ kī dopahar kī
vo koyaloñ ke gudāz naġhmoñ meñ ras badaltī huī rutoñ kā
vo nīlgūñ sub.h kī fazā.eñ
vo dil-nashīñ shaam ke dhuñdalke
hamāre aamoñ ke baaġh bāñsoñ ke jhunD dariyāoñ ke kināre
hamāre sarsoñ ke khet pīpal kī chhāñv zarrāt ke ishāre
hamārā dāman pakaḌ rahe the
yaqīñ se jholī ko bhar rahe the
vo pūchhte the tumhāre ghar in masarratoñ ke sivā kahāñ haiñ
hamāre gītoñ kī mast tāneñ
hamāre meloñ kī rang-raliyāñ
hamāre tyauhāroñ kī adā.eñ
hamāre fankāroñ kī sadā.eñ
hamāre rastoñ meñ aa ga.ī thiiñ
vo kah rahī thiiñ yahāñ ke zarre bhī is tamaddun ke pāsbāñ haiñ
vo tang galiyoñ meñ zindagī kī haqīqateñ pā-barahna bachche
vo apnī mā'sūm añkhḌiyoñ meñ hayāt kī talḳhiyāñ chhupā.e
ḳhirāj-e-insāf māñgte the
vo apnī mīrās māñgte the
hazār tārīkiyoñ ke dāman meñ paltī ye zindagī kī kaliyāñ
pukārtī thiiñ kisī sahar-āfrīñ mazāq-e-‘amal kī tālib
ye tang-o-tārīk bastiyāñ haiñ ye sab adhūrī kahāniyāñ haiñ
hamīñ ne jamunā ke sāhiloñ ko hasīñ imārāt se sajāyā
hamīñ ne patthar ke saḳht siine ko narm elora kī dhaḌkaneñ diiñ
hamīñ ne rangīniyāñ nichoḌīñ to naqsh ajantā ke ban ga.e the
jo husn-o-josh-e-‘amal samoyā to lāl-qil’e sañvar ga.e the
hamīñ ne marmar kī sard sil ko
amar kiyā taaj kī taḌap dī
yahīñ kī miTTī ne fikr-e-'ġhālib' ko ‘azm-e-'iqbāl' ko nikhārā
diloñ kī 'tagore' kī navāoñ ne baḳhshā vijdān kā sharāra
hamīñ ne 'kālī' kī shā'irī meñ
samoyā shīrāz aur īrāñ kā lahja-e-jazb-o-kaif-o-mastī
hamīñ ne is sarzamīn-e-'gautam' ko she'r kā bāñkpan diyā thā
hamīñ ne tahzīb-e-hind ko ye mizāj-e-gang-o-jaman diyā thā
yahāñ ke afkār-o-‘ilm-o-ā.īñ hamārī 'azmat ke rāz-dāñ haiñ
nahīñ hai apne vatan kī miTTī to kaun apnā nigāh-bāñ hai
nahīñ haiñ gar ye hasīñ fazā.eñ to kaun apnā mizāj-dāñ hai
nahīñ hai gar ye hamārī manzil to phir batāo tumhīñ kahāñ hai
ye kis ke saffāk haath ne toḌ Daalā is ghar kā sāz-e-ulfat
ye kis ne maz.hab kā naam le kar miTā dī me’rāj-e-ādamiyyat
kahāñ haiñ josh-o-vafā-o-himmat
kahāñ hai ajdād kī hamiyyat
haiñ kyoñ luTeroñ meñ maa.eñ bahneñ
ye kaun is ghar ke pāsbāñ haiñ
kahāñ ho chāragaro batāo kahāñ uḳhuvvat ke kārvāñ haiñ
kahāñ ho ai rahbaro dikhāo bujhe bujhe raah ke nishāñ haiñ
ham apne kūchoñ meñ ajnabī haiñ ham apne hī ghar meñ mehmāñ haiñ
ye dil ki rahen udas kyon hain umid ke qafile kahan hain
hum apne kuchon mein ajnabi hain hum apne hi ghar mein mehman hain
yahi hai markaz hamare har KHwab-e-arzu ka
yahi watan hai yahi hai maskan wafa ummid-o-justuju ka
yahi watan hai isi ke kuchon ne KHwab-e-nau dekhne sikhae
isi ke zarron ki chahaton ne
hamare bachpan ki narm-o-nau-KHez KHwahishon ko
jawan ‘azaim ki aanch baKHshi
isi ke sine ki dhaDkanon ne
hamare dil ke ‘amiq goshon ko raushni ki nai kiran di
hum is ki godi ki rahaton ko
yahan se Thukra ke kaise jate
hum is ki mamta ka soz kho kar
sukun-o-aram kaise pate
us ajnabi des ki fazaon mein dil ka aahang kaise milta
un ajnabi wadiyon ke daman mein chah ke phul kaise khilte
ye wardaten ye naqsh-e-ulfat agar kahin hai to bas yahan hain
asaDh ke halke halke baadal
jhaDi wo bhadon ki dopahar ki
wo koyalon ke gudaz naghmon mein ras badalti hui ruton ka
wo nilgun subh ki fazaen
wo dil-nashin sham ke dhundalke
hamare aamon ke bagh banson ke jhunD dariyaon ke kinare
hamare sarson ke khet pipal ki chhanw zarraat ke ishaare
hamara daman pakaD rahe the
yaqin se jholi ko bhar rahe the
wo puchhte the tumhaare ghar in masarraton ke siwa kahan hain
hamare giton ki mast tanen
hamare melon ki rang-raliyan
hamare tyauhaaron ki adaen
hamare fankaron ki sadaen
hamare raston mein aa gai thin
wo kah rahi thin yahan ke zarre bhi is tamaddun ke pasban hain
wo tang galiyon mein zindagi ki haqiqaten pa-barahna bachche
wo apni ma'sum ankhDiyon mein hayat ki talKHiyan chhupae
KHiraj-e-insaf mangte the
wo apni miras mangte the
hazar tarikiyon ke daman mein palti ye zindagi ki kaliyan
pukarti thin kisi sahar-afrin mazaq-e-‘amal ki talib
ye tang-o-tarik bastiyan hain ye sab adhuri kahaniyan hain
hamin ne jamuna ke sahilon ko hasin imaraat se sajaya
hamin ne patthar ke saKHt sine ko narm elora ki dhaDkanen din
hamin ne ranginiyan nichoDin to naqsh ajanta ke ban gae the
jo husn-o-josh-e-‘amal samoya to lal-qil’e sanwar gae the
hamin ne marmar ki sard sil ko
amar kiya taj ki taDap di
yahin ki miTTi ne fikr-e-'ghaalib' ko ‘azm-e-'iqbaal' ko nikhaara
dilon ki 'tagore' ki nawaon ne baKHsha wijdan ka sharara
hamin ne 'kali' ki sha'iri mein
samoya shiraaz aur iran ka lahja-e-jazb-o-kaif-o-masti
hamin ne is sarzamin-e-'gautam' ko she'r ka bankpan diya tha
hamin ne tahzib-e-hind ko ye mizaj-e-gang-o-jaman diya tha
yahan ke afkar-o-‘ilm-o-ain hamari 'azmat ke raaz-dan hain
nahin hai apne watan ki miTTi to kaun apna nigah-ban hai
nahin hain gar ye hasin fazaen to kaun apna mizaj-dan hai
nahin hai gar ye hamari manzil to phir batao tumhin kahan hai
ye kis ke saffak hath ne toD Dala is ghar ka saz-e-ulfat
ye kis ne mazhab ka nam le kar miTa di me’raj-e-adamiyyat
kahan hain josh-o-wafa-o-himmat
kahan hai ajdad ki hamiyyat
hain kyon luTeron mein maen bahnen
ye kaun is ghar ke pasban hain
kahan ho chaaragaro batao kahan uKHuwwat ke karwan hain
kahan ho ai rahbaro dikhao bujhe bujhe rah ke nishan hain
hum apne kuchon mein ajnabi hain hum apne hi ghar mein mehman hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.