mere aasman ke chand ko KHabar do
ajiib uljhan sī rahā kartī hai in dinoñ mujh ko
mere āsmān ke chāñd ko ḳhabar do
yūñhī der tak raat raat bhar jāgtī huuñ
taare gintī hoñ yādeñ jam.a kartī huuñ
aur sub.h hone tak sab bhuul jaatī huuñ
be-kār socheñ ghere rahtī haiñ hama-vaqt mujh ko
mere āsmān ke chāñd ko ḳhabar do
suiT pasand karne dukān par jaatī huuñ
bahut se kapḌe letī huuñ muskurātī huuñ
ghar aa kar juuñ hī use sochtī huuñ
apne ḳharīde hue suiT udaas kar dete haiñ mujh ko
mere āsmān ke chāñd ko ḳhabar do
khiḌkī kholtī huuñ band kartī huuñ
bārhā sīḌhiyoñ tak jā ke palaTtī huuñ
kamre meñ baiThtī huuñ kabhī Tahaltī huuñ
na jaane kahāñ gayā miltā nahīñ ab dil mujh ko
mere āsmān ke chāñd ko ḳhabar do
jī lagtā hai is duniyā se uub chukā hai
ajiib vahshat hai ki har jagah se ayaañ hai
saañs to chaltī hai zindagī Thahrī ik jagah hai
ḳhud-kushī kī ḳhvāhish bahut satātī hai mujh ko
mere āsmān ke chāñd ko ḳhabar do
ajib uljhan si raha karti hai in dinon mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
yunhi der tak raat raat bhar jagti hun
tare ginti hon yaaden jama karti hun
aur subh hone tak sab bhul jati hun
be-kar sochen ghere rahti hain hama-waqt mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
suiT pasand karne dukan par jati hun
bahut se kapDe leti hun muskuraati hun
ghar aa kar jun hi use sochti hun
apne KHaride hue suiT udas kar dete hain mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
khiDki kholti hun band karti hun
barha siDhiyon tak ja ke palaTti hun
kamre mein baiThti hun kabhi Tahalti hun
na jaane kahan gaya milta nahin ab dil mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
ji lagta hai is duniya se ub chuka hai
ajib wahshat hai ki har jagah se ayan hai
sans to chalti hai zindagi Thahri ek jagah hai
KHud-kushi ki KHwahish bahut satati hai mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.