mere baad
merī sāñsoñ kī ḳhushbū
mere chalne kī āvāz
aur hañsī kā sargam
lams meñ bhīgā huā dhīre dhīre boltā lamha
jā-ba-jā mere hāthoñ rakhī huī chīzeñ
merī kitāboñ meñ mahke hue alfāz kī baas
siñghār kā sāmān
malbūsāt ke bolte hue rang
rangoñ se bantī parchhā.īñ
parchhā.iyoñ se jhāñkte hue yādoñ ke chehre
aur yādoñ se juḌā huā ek naam
merā naam
āñkhoñ se Dhalke aur takiye meñ jazb hue
vo thoḌe se ḳhvāb
mere ḳhvāb
sab kuchh yūñhī rahne denā
dil ko aur kisī kā na hone denā
mere mar jaane ke baa'd bhī
mujh ko marne na denā
meri sanson ki KHushbu
mere chalne ki aawaz
aur hansi ka sargam
lams mein bhiga hua dhire dhire bolta lamha
ja-ba-ja mere hathon rakhi hui chizen
meri kitabon mein mahke hue alfaz ki bas
singhaar ka saman
malbusat ke bolte hue rang
rangon se banti parchhain
parchhaiyon se jhankte hue yaadon ke chehre
aur yaadon se juDa hua ek nam
mera nam
aankhon se Dhalke aur takiye mein jazb hue
wo thoDe se KHwab
mere KHwab
sab kuchh yunhi rahne dena
dil ko aur kisi ka na hone dena
mere mar jaane ke ba'd bhi
mujh ko marne na dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.