mere baad
koī bhī aa.egā turbat pe bhalā mere baad
ḳhaak aa aa ke uḌā.egī sabā mere baad
jiite jī qadr kisī ne bhī na jaanī afsos
yaad meñ ro.egā phir kaun bhalā mere baad
sab ye muñh dekhe kī bāteñ haiñ kahāñ kī ulfat
yaad karne ke nahīñ ahl-e-jafā mere baad
qaum ne qadr na kī rah ga.ī hasrat dil meñ
merī turbat se ye aa.egī sadā mere baad
fātiha paḌhne ko aaya to bahut ro ro kar
baḳhsh de us ko ḳhudā us ne kahā mere baad
zindagī meñ to sila maiñ ne na paayā hargiz
kaam sab mere hoñ maqbūl-e-ḳhudā mere baad
ye vasiyyat hai ki jis ko hai mohabbat mujh se
phuul turbat pe chaḌhā jaa.e zarā mere baad
pūchhtī tum se hayā hai ye batā do mujh ko
ab nahīñ aate ho phir aaoge kyā mere baad
koi bhi aaega turbat pe bhala mere baad
KHak aa aa ke uDaegi saba mere baad
jite ji qadr kisi ne bhi na jaani afsos
yaad mein roega phir kaun bhala mere baad
sab ye munh dekhe ki baaten hain kahan ki ulfat
yaad karne ke nahin ahl-e-jafa mere baad
qaum ne qadr na ki rah gai hasrat dil mein
meri turbat se ye aaegi sada mere baad
fatiha paDhne ko aaya to bahut ro ro kar
baKHsh de us ko KHuda us ne kaha mere baad
zindagi mein to sila main ne na paya hargiz
kaam sab mere hon maqbul-e-KHuda mere baad
ye wasiyyat hai ki jis ko hai mohabbat mujh se
phul turbat pe chaDha jae zara mere baad
puchhti tum se haya hai ye bata do mujh ko
ab nahin aate ho phir aaoge kya mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.