mere bhi kuchh KHwab
mere bhī kuchh ḳhvāb haiñ
jin ko maiñ jazboñ kā ḳhuun de kar paal rahī huuñ
kyā tumheñ koī e'tirāz hai
ujle dinoñ aur chāñdnī chamaktī rātoñ kī aas mujhe purvā kī tarah
kahāñ kahāñ nahīñ liye phirtī
mere ḳhvāb
shīshe kī tarah ḳhūbsūrat aur nāzuk inheñ mat chhuo
ki haath lagne se maile na ho jaa.eñ
bas tum duur se is kī ḳhushbū chakhte raho
magar mujhe ḳhvāb dekhne do
in sajīle aur pyāre ḳhvāboñ ke liye chāhe mujhe pāniyoñ se guzarnā paḌe
thaloñ kī masāfateñ hoñ
ḳhvāb mere saath raheñge
maiñ un ke liye hañsūñgī
gā.ūñgī nāchūñgī jiyūñgī aur mar jā.ūñgī
ḳhvāb phir bhī mere hī raheñge
mere bhi kuchh KHwab hain
jin ko main jazbon ka KHun de kar pal rahi hun
kya tumhein koi e'tiraaz hai
ujle dinon aur chandni chamakti raaton ki aas mujhe purwa ki tarah
kahan kahan nahin liye phirti
mere KHwab
shishe ki tarah KHubsurat aur nazuk inhen mat chhuo
ki hath lagne se maile na ho jaen
bas tum dur se is ki KHushbu chakhte raho
magar mujhe KHwab dekhne do
in sajile aur pyare KHwabon ke liye chahe mujhe paniyon se guzarna paDe
thalon ki masafaten hon
KHwab mere sath rahenge
main un ke liye hansungi
gaungi nachungi jiyungi aur mar jaungi
KHwab phir bhi mere hi rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.