kahāñ se aa.e ye ehsās mere
ki ab jo ban ga.e vishvās mere
mire jo zāviye haiñ zindagī ke
mire jo nazariye haiñ aadmī ke
mire ehsās se paidā hue haiñ
mire vishvās se paidā hue haiñ
magar shāyad hai sach kuchh baat ye bhī
mirī qadreñ mire ehsās mere nazariye bhī
mere apne nahīñ hai mere jo bhī yaqīñ haiñ
vo merā ghar nahīñ hai mirā maiñ bas makīñ hai
milā māhaul bachpan se mujhe jo
jo dhaḌkan dī ga.ī hai mere dil ko
jo qadre aur jo maz.hab milā hai
merī paidā.ish kā vo silsila hai
mere ehsās ab merī haqīqat
mere vishvās ab merī sadāqat
huā hai qaid pinjre meñ merā man
Dhalā hai ek sāñche meñ merā tan
mujhe jo zindagī jiinī hai apnī
mujhe gar DhūñDnī hai apnī hastī
nikalnā hogā apnī hī hadoñ se
haqīqat ke bharam ke āsroñ se
kahan se aae ye ehsas mere
ki ab jo ban gae wishwas mere
mere jo zawiye hain zindagi ke
mere jo nazariye hain aadmi ke
mere ehsas se paida hue hain
mere wishwas se paida hue hain
magar shayad hai sach kuchh baat ye bhi
meri qadren mere ehsas mere nazariye bhi
mere apne nahin hai mere jo bhi yaqin hain
wo mera ghar nahin hai mera main bas makin hai
mila mahaul bachpan se mujhe jo
jo dhaDkan di gai hai mere dil ko
jo qadre aur jo mazhab mila hai
meri paidaish ka wo silsila hai
mere ehsas ab meri haqiqat
mere wishwas ab meri sadaqat
hua hai qaid pinjre mein mera man
Dhala hai ek sanche mein mera tan
mujhe jo zindagi jini hai apni
mujhe gar DhunDni hai apni hasti
nikalna hoga apni hi hadon se
haqiqat ke bharam ke aasron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.