mere git tumhaare hain
ab tak mere gītoñ meñ ummīd bhī thī paspā.ī bhī
maut ke qadmoñ kī aahaT bhī jīvan kī añgḌā.ī bhī
mustaqbil kī kirneñ bhī thiiñ haal kī bojhal zulmat bhī
tūfānoñ kā shor bhī thā aur ḳhvāboñ kī shahnā.ī bhī
aaj se maiñ apne gītoñ meñ ātish-pāre bhar dūñgā
maddham lachkīlī tānoñ meñ jīvaT dhāre bhar dūñgā
jīvan ke añdhiyāre path par mish.al le kar niklūñgā
dhartī ke phaile āñchal meñ surḳh sitāre bhar dūñgā
aaj se ai mazdūr kisāno mere giit tumhāre haiñ
fāqa-kash insāno mere jog-bahāg tumhāre haiñ
jab tak tum bhūke nañge ho ye naġhme ḳhāmosh na hoñge
jab tak be-ārām ho tum ye naġhme rāhat-kosh na hoñge
mujh ko is kā rañj nahīñ hai log mujhe fankār na māneñ
fikr-o-fan ke tājir mere sheroñ ko ash.ār na māneñ
merā fan merī umīdeñ aaj se tum ko arpan haiñ
aaj se mere giit tumhāre dukh aur sukh kā darpan haiñ
tum se quvvat le kar ab maiñ tum ko raah dikhā.ūñgā
tum parcham lahrānā sāthī maiñ barbat par gā.uñgā
aaj se mere fan kā maqsad zanjīreñ pighlānā hai
aaj se maiñ shabnam ke badle añgāre barsā.ūñgā
ab tak mere giton mein ummid bhi thi paspai bhi
maut ke qadmon ki aahaT bhi jiwan ki angDai bhi
mustaqbil ki kirnen bhi thin haal ki bojhal zulmat bhi
tufanon ka shor bhi tha aur KHwabon ki shahnai bhi
aaj se main apne giton mein aatish-pare bhar dunga
maddham lachkili tanon mein jiwaT dhaare bhar dunga
jiwan ke andhiyare path par mishal le kar niklunga
dharti ke phaile aanchal mein surKH sitare bhar dunga
aaj se ai mazdur kisano mere git tumhaare hain
faqa-kash insano mere jog-bahag tumhaare hain
jab tak tum bhuke nange ho ye naghme KHamosh na honge
jab tak be-aram ho tum ye naghme rahat-kosh na honge
mujh ko is ka ranj nahin hai log mujhe fankar na manen
fikr-o-fan ke tajir mere sheron ko ashaar na manen
mera fan meri umiden aaj se tum ko arpan hain
aaj se mere git tumhaare dukh aur sukh ka darpan hain
tum se quwwat le kar ab main tum ko rah dikhaunga
tum parcham lahrana sathi main barbat par gaunga
aaj se mere fan ka maqsad zanjiren pighlana hai
aaj se main shabnam ke badle angare barsaunga
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.