mere hath
Interesting Fact
(Funun, Lahore, April-May, 1973)
dil meñ kab se rim-jhim kartī
kaisī barkhā baras rahī hai
is barkhā ke amrit ras se
bhiig chukī maiñ bhiig chukī maiñ
lagtī chhuptī dhuup aur bādal
ye ākāsh ke nanhe bālak
khel rahe haiñ hañste hañste
kilkārī bharte sabze ko
shoḳh havā.eñ chheḌ rahī haiñ
maiñ bhī apne pañkh jhaTak kar
par taulūñ aur bharūñ uḌāneñ
apne badan meñ ḳhud kho jā.ūñ
ye tan kā ākāsh ye dhartī
dhīre dhīre phail rahī hai
aur mere hāthoñ ke pakherū
ye chanchal bechain parinde
ek anokhe raaz se be-kal
dhartī meñ kuchh DhūñD rahe haiñ
DhūñD rahe haiñ aise pal ko
jis kī khoj meñ dil rahtā hai
jis pal dhartī mile gagan se
vo pal mere tan ke bāhar
kahīñ nahīñ hai kahīñ nahīñ hai
ye panchhī ye narm pakherū
janmoñ se dhartī ke sañgī
is kaayā ke taal kināre
dhīre dhīre DhūñD rahe haiñ
kho.e hue pal kī kañkariyāñ
dil mein kab se rim-jhim karti
kaisi barkha baras rahi hai
is barkha ke amrit ras se
bhig chuki main bhig chuki main
lagti chhupti dhup aur baadal
ye aakash ke nanhe baalak
khel rahe hain hanste hanste
kilkari bharte sabze ko
shoKH hawaen chheD rahi hain
main bhi apne pankh jhaTak kar
par taulun aur bharun uDanen
apne badan mein KHud kho jaun
ye tan ka aakash ye dharti
dhire dhire phail rahi hai
aur mere hathon ke pakheru
ye chanchal bechain parinde
ek anokhe raaz se be-kal
dharti mein kuchh DhunD rahe hain
DhunD rahe hain aise pal ko
jis ki khoj mein dil rahta hai
jis pal dharti mile gagan se
wo pal mere tan ke bahar
kahin nahin hai kahin nahin hai
ye panchhi ye narm pakheru
janmon se dharti ke sangi
is kaya ke tal kinare
dhire dhire DhunD rahe hain
khoe hue pal ki kankariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.