mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se
mere kamre meñ utar aa.ī ḳhamoshī phir se
sāya-e-shām-e-ġharībāñ kī tarah
shorish-e-dīda-e-giryāñ kī tarah
mausam-e-kunj-e-bayābāñ kī tarah
kitnā be-nutq hai yādoñ kā hujūm
jaise hoñToñ kī fazā yaḳh-basta
jaise lafzoñ ko gahan lag jaa.e
jaise rūThe hue rastoñ ke musāfir chup-chāp
jaise marqad ke sirhāne koī ḳhāmosh charāġh
jaise sunsān se maqtal kī salīb
jaise kajlā.ī huī shab kā nasīb
mere kamre meñ utar aa.ī ḳhamoshī phir se
phir se zaḳhmoñ kī qatāreñ jāgīñ
avval-e-shām-e-charāġhāñ kī tarah
har na.e zaḳhm ne phir yaad dilāyā mujh ko
isī kamre meñ kabhī
mahfil-e-ahbāb ke saath
gungunāte hue lamhoñ ke shajar phailte the
raqs karte hue jazboñ ke dahakte lamhe
qarya-e-jāñ meñ lahū kī sūrat
sham-e-vāda kī tarah jalte the
saañs letī thī fazā meñ ḳhushbū
aañkh meñ gulban-e-marjāñ kī tarah
saañs ke saath guhar Dhalte the
aaj kyā kahiye ki aisā kyuuñ hai
shaam chup-chāp
fazā yaḳh-basta
dil mirā dil ki samundar kī tarah zinda thā
tere hote hue tanhā kyuuñ hai
to ki ḳhud chashma-e-āvāz bhī hai
merī mahram mirī hamrāz bhī hai
tere hote hue har samt udāsī kaisī
shaam chup-chāp
fazā yaḳh-basta
dil ke hamrāh badan TuuT rahā ho jaise
ruuh se rishta-e-jāñ chhūT rahā ho jaise
ai ki tū chashma-e-āvāz bhī hai
hāsil-e-naġhmagī-e-sāz bhī hai
lab-kushā ho ki sar-e-shām-e-figār
is se pahle ki shikasta-dil meñ
bad-gumānī kī koī tez kiran chubh jaa.e
is se pahle ki charāġh-e-va.ada
yak-ba-yak bujh jaa.e
lab-kushā ho ki fazā meñ phir se
jalte lafzoñ ke dahakte jugnū
tair jaa.eñ to sukūt-e-shab-e-uryāñ TuuTe
phir koī band-e-garebāñ TuuTe
lab-kushā ho ki mirī nas nas meñ
zahr bhar de na kahīñ
vaqt kī zaḳhm-faroshī phir se
lab-kushā ho ki mujhe Das legī
ḳhud-farāmoshī phir se
mere kamre meñ utar aa.ī
ḳhamoshī phir se
mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se
saya-e-sham-e-ghariban ki tarah
shorish-e-dida-e-giryan ki tarah
mausam-e-kunj-e-bayaban ki tarah
kitna be-nutq hai yaadon ka hujum
jaise honTon ki faza yaKH-basta
jaise lafzon ko gahan lag jae
jaise ruThe hue raston ke musafir chup-chap
jaise marqad ke sirhane koi KHamosh charagh
jaise sunsan se maqtal ki salib
jaise kajlai hui shab ka nasib
mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se
phir se zaKHmon ki qataren jagin
awwal-e-sham-e-charaghan ki tarah
har nae zaKHm ne phir yaad dilaya mujh ko
isi kamre mein kabhi
mahfil-e-ahbab ke sath
gungunate hue lamhon ke shajar phailte the
raqs karte hue jazbon ke dahakte lamhe
qarya-e-jaan mein lahu ki surat
sham-e-wada ki tarah jalte the
sans leti thi faza mein KHushbu
aankh mein gulban-e-marjaan ki tarah
sans ke sath guhar Dhalte the
aaj kya kahiye ki aisa kyun hai
sham chup-chap
faza yaKH-basta
dil mera dil ki samundar ki tarah zinda tha
tere hote hue tanha kyun hai
to ki KHud chashma-e-awaz bhi hai
meri mahram meri hamraaz bhi hai
tere hote hue har samt udasi kaisi
sham chup-chap
faza yaKH-basta
dil ke hamrah badan TuT raha ho jaise
ruh se rishta-e-jaan chhuT raha ho jaise
ai ki tu chashma-e-awaz bhi hai
hasil-e-naghmagi-e-saz bhi hai
lab-kusha ho ki sar-e-sham-e-figar
is se pahle ki shikasta-dil mein
bad-gumani ki koi tez kiran chubh jae
is se pahle ki charagh-e-wada
yak-ba-yak bujh jae
lab-kusha ho ki faza mein phir se
jalte lafzon ke dahakte jugnu
tair jaen to sukut-e-shab-e-uryan TuTe
phir koi band-e-gareban TuTe
lab-kusha ho ki meri nas nas mein
zahr bhar de na kahin
waqt ki zaKHm-faroshi phir se
lab-kusha ho ki mujhe Das legi
KHud-faramoshi phir se
mere kamre mein utar aai
KHamoshi phir se
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 960)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.