mere KHwabon ka hindostan
kabhī jab lafz-e-āzādī kā sachchā tarjumāñ hogā
to phir ye hind ḳhvāboñ kā mire hindostāñ hogā
ubhar aa.egā ḳhuddārī kā jazba mulk vāloñ kā
faqat īsār hogā mudda.ā in ḳhush-ḳhayāloñ kā
na hogī chor-bāzārī na ayyārī na makkārī
na ye baaqī rahegī rishvatoñ kī garm-bāzārī
hukūmat kā jo Dhāñcha hai badal jā.egā ye yaksar
ki iḳhrājāt haiñ jo āj-kal ho jā.eñge kamtar
hukūmat meñ sabhī ahl-e-hunar ke qadr-dāñ hoñge
jo jāhil haiñ vasā.il se na apne kāmrāñ hoñge
na itne tax hī hoñge ki jin se jaan ho dūbhar
ḳhushī se tax sab deñge bachegā is qadr khā kar
mire hindostāñ ke khet jab dekho hare hoñge
anaaj itnā mire khaliyān ġhalle se bhare hoñge
maveshī is qadar hoñge baheñgī duudh kī nahreñ
masarrat ke samundar meñ uTheñgī har taraf lahreñ
mashīnoñ ke liye muhtāj hoñge ham na ġhairoñ ke
zarūrat kā har ik sāmāñ banegā mulk meñ apne
suhūlat barq-o-telephone kī hogī dehātoñ meñ
saḌak har gaañv tak ban jā.egī pakkī dehātoñ meñ
nikal ā.eñge kaafī is zamīñ se tel ke chashme
na ham muhtāj sone ke raheñge aur na lohe ke
na koī be-paḌhā-likhā na koī be-hunar hogā
na auroñ ke liye be-kār koī dard-e-sar hogā
hamāre mulk ko ik markaz-e-ta.alīm pā.eñge
yahāñ ta.alīm lene dūsre mulkoñ se ā.eñge
jo būḌhe hoñge aur mohtāj unheñ sarkār pālegī
yatīmoñ aur bevāoñ ko siine se lagā legī
hukūmat aur public ke bhale kirdār agar hoñge
to mausam aur dariyā bhī raheñge Thiik hī apne
hamāre dam kā lohā ahal-e-quvvat maan jā.eñge
jo haiñ kamzor har sūrat meñ haamī ham ko pā.eñge
ġharaz ye hai vo ḳhvāboñ kā mire hindostāñ hogā
na ik chehre pe jis meñ fikr-o-vahshat kā nishāñ hogā
na hogī bhuuk kī la.anat na bekārī na bīmārī
na hogī be-īmānī aur na ayyārī na ġhaddārī
shujā.at aur javāñ-mardī kā putlā hogā har insāñ
mohabbat aur ḳhidmat hogā har insān kā īmāñ
'shifā' mumkin hai aise din na merī ziist meñ aa.eñ
maiñ vo paudā lagā.ūñgā ki nasleñ jis kā phal khā.eñ
kabhi jab lafz-e-azadi ka sachcha tarjuman hoga
to phir ye hind KHwabon ka mere hindostan hoga
ubhar aaega KHuddari ka jazba mulk walon ka
faqat isar hoga muddaa in KHush-KHayalon ka
na hogi chor-bazari na ayyari na makkari
na ye baqi rahegi rishwaton ki garm-bazari
hukumat ka jo Dhancha hai badal jaega ye yaksar
ki iKHrajat hain jo aaj-kal ho jaenge kamtar
hukumat mein sabhi ahl-e-hunar ke qadr-dan honge
jo jahil hain wasail se na apne kaamran honge
na itne tax hi honge ki jin se jaan ho dubhar
KHushi se tax sab denge bachega is qadr kha kar
mere hindostan ke khet jab dekho hare honge
anaj itna mere khaliyan ghalle se bhare honge
maweshi is qadar honge bahengi dudh ki nahren
masarrat ke samundar mein uThengi har taraf lahren
mashinon ke liye muhtaj honge hum na ghairon ke
zarurat ka har ek saman banega mulk mein apne
suhulat barq-o-telephone ki hogi dehaton mein
saDak har ganw tak ban jaegi pakki dehaton mein
nikal aaenge kafi is zamin se tel ke chashme
na hum muhtaj sone ke rahenge aur na lohe ke
na koi be-paDha-likha na koi be-hunar hoga
na auron ke liye be-kar koi dard-e-sar hoga
hamare mulk ko ek markaz-e-talim paenge
yahan talim lene dusre mulkon se aaenge
jo buDhe honge aur mohtaj unhen sarkar palegi
yatimon aur bewaon ko sine se laga legi
hukumat aur public ke bhale kirdar agar honge
to mausam aur dariya bhi rahenge Thik hi apne
hamare dam ka loha ahal-e-quwwat man jaenge
jo hain kamzor har surat mein hami hum ko paenge
gharaz ye hai wo KHwabon ka mere hindostan hoga
na ek chehre pe jis mein fikr-o-wahshat ka nishan hoga
na hogi bhuk ki lanat na bekari na bimari
na hogi be-imani aur na ayyari na ghaddari
shujaat aur jawan-mardi ka putla hoga har insan
mohabbat aur KHidmat hoga har insan ka iman
'shifa' mumkin hai aise din na meri zist mein aaen
main wo pauda lagaunga ki naslen jis ka phal khaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.