mere liye kya hai kuchh bhi nahin
ye gaañv kā manzar sannāTā aur shaam kī dhundlī tārīkī
ik shaam bahut rañgīn magar muflis kī nigāhoñ meñ phīkī
dhartī pe ye paanī sone kā ākāsh pe nahreñ chāñdī kī
ye chāñd ye taare ye dariyā mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
ye shahr kī chaltī saḌkoñ par har samt dukāneñ nūrānī
bijlī meñ bhī jaltā ho jaise iflās ke patte kā paanī
chīzoñ kī girānī meñ shāmil ġhurbat ke lahū kī arzānī
ye saaz ye sāmān-e-ishrat mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
rātoñ ke añdhere meñ jagmag jagmag ye fazā mai-ḳhvānoñ kī
mezoñ pe nazāre mastī ke bahkī huī lai dīvānoñ kī
botal kī navā-e-kulkul meñ halkī sī ḳhunuk paimānoñ kī
ye shīsha ye saaqī ye sahbā mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
saḌkoñ pe hasīnoñ kā tāñtā jaadū kā parā chaltā phirtā
saaḌī kī lapeTūñ se jin kī chhilke hai javānī kī sahbā
mastī ke qadam sambhle sambhle āñchal kā sirā Dhalkā Dhalkā
ye husn-o-javānī rañg-o-adā mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
āñkhoñ pe mirī ehsās hai kyā sabzoñ pe agar hai barnā.ī
kyuuñ pūchhne jā.ūñ kyārī meñ phūloñ kā mizāj-e-ra.anā.ī
kyā kaam hai mujh ko gulshan se kaliyāñ ho khilī yā murjhā.ī
ye phuul ye shabnam sher-o-fazā mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
collage kī ye ta.amīr-e-ḳhandāñ mamnūn ġhamoñ laam nahīñ
is meñ kisī muflis ke ghar ke ġhamgīn pisar kā naam nahīñ
sāmān-e-tijārat hai ye bhī sāmān-e-mafād-e-ām nahīñ
ye ilm ye hikmat hosh-rubā mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
be-jān ho jab naqsh-e-hastī tasvīr-e-tamannā kyā bole
tārāj ke ḳhūnī panje meñ tahzīb kī miinā kyā bole
chīloñ ke najāsat khāne meñ bechāra papīhā kyā bole
ye naġhma ye sher-o-sāz-o-navā mere liye kyā hai kuchh bhī nahīñ
ye ganw ka manzar sannaTa aur sham ki dhundli tariki
ek sham bahut rangin magar muflis ki nigahon mein phiki
dharti pe ye pani sone ka aakash pe nahren chandi ki
ye chand ye tare ye dariya mere liye kya hai kuchh bhi nahin
ye shahr ki chalti saDkon par har samt dukanen nurani
bijli mein bhi jalta ho jaise iflas ke patte ka pani
chizon ki girani mein shamil ghurbat ke lahu ki arzani
ye saz ye saman-e-ishrat mere liye kya hai kuchh bhi nahin
raaton ke andhere mein jagmag jagmag ye faza mai-KHwanon ki
mezon pe nazare masti ke bahki hui lai diwanon ki
botal ki nawa-e-kulkul mein halki si KHunuk paimanon ki
ye shisha ye saqi ye sahba mere liye kya hai kuchh bhi nahin
saDkon pe hasinon ka tanta jadu ka para chalta phirta
saDi ki lapeTun se jin ki chhilke hai jawani ki sahba
masti ke qadam sambhle sambhle aanchal ka sira Dhalka Dhalka
ye husn-o-jawani rang-o-ada mere liye kya hai kuchh bhi nahin
aankhon pe meri ehsas hai kya sabzon pe agar hai barnai
kyun puchhne jaun kyari mein phulon ka mizaj-e-ranai
kya kaam hai mujh ko gulshan se kaliyan ho khili ya murjhai
ye phul ye shabnam sher-o-faza mere liye kya hai kuchh bhi nahin
collage ki ye tamir-e-KHandan mamnun ghamon lam nahin
is mein kisi muflis ke ghar ke ghamgin pisar ka nam nahin
saman-e-tijarat hai ye bhi saman-e-mafad-e-am nahin
ye ilm ye hikmat hosh-ruba mere liye kya hai kuchh bhi nahin
be-jaan ho jab naqsh-e-hasti taswir-e-tamanna kya bole
taraj ke KHuni panje mein tahzib ki mina kya bole
chilon ke najasat khane mein bechaara papiha kya bole
ye naghma ye sher-o-saz-o-nawa mere liye kya hai kuchh bhi nahin
- Book : Nushoor Wahedi Veyaktitiva Chhaya Aur Shayri (Pg. 127)
- Author : Niaz Wahedi
- Publication : Niaz wahedi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.