mere nadim!
ḳhayāl o sher kī duniyā meñ jaan thī jin se
fazā-e-fikr-o-amal arġhavān thī jin se
vo jin ke nuur se shādāb the mah-o-anjum
junūn-e-ishq kī himmat javān thī jin se
vo ārzueñ kahāñ so ga.ī haiñ mere nadīm?
vo nā-subūr nigāheñ, vo muntazir rāheñ
vo pās-e-zabt se dil meñ dabī huī aa.heñ
vo intizār kī rāteñ, tavīl tīra-o-tār
vo nīm-ḳhvāb, shabistāñ vo maḳhmalīñ bāheñ
kahāniyāñ thiiñ kahīñ kho ga.ī haiñ mere nadīm
machal rahā hai rag-e-zindagī meñ ḳhūn-e-bahār
ulajh rahe haiñ purāne ġhamoñ se ruuh ke taar
chalo ki chal ke charāġhāñ kareñ dayār-e-habīb
haiñ intizār meñ aglī mohabbatoñ ke mazār
mohabbateñ jo fanā ho ga.ī haiñ mere nadīm!
KHayal o sher ki duniya mein jaan thi jin se
faza-e-fikr-o-amal arghawan thi jin se
wo jin ke nur se shadab the mah-o-anjum
junun-e-ishq ki himmat jawan thi jin se
wo aarzuen kahan so gai hain mere nadim?
wo na-subur nigahen, wo muntazir rahen
wo pas-e-zabt se dil mein dabi hui aahen
wo intizar ki raaten, tawil tira-o-tar
wo nim-KHwab, shabistan wo maKHmalin bahen
kahaniyan thin kahin kho gai hain mere nadim
machal raha hai rag-e-zindagi mein KHun-e-bahaar
ulajh rahe hain purane ghamon se ruh ke tar
chalo ki chal ke charaghan karen dayar-e-habib
hain intizar mein agli mohabbaton ke mazar
mohabbaten jo fana ho gai hain mere nadim!
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 57)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.