mere pas kya kuchh nahin
mere paas rātoñ kī tārīkī meñ
khilne vaale phuul haiñ
aur be-ḳhvābī
dinoñ kī murjhā.ī huī raushnī hai
aur bīnā.ī
mere paas lauT jaane ko ek maazī hai
aur yaad...
mere paas masrūfiyat kī tamām tar rañgā-rañgī hai
aur be-ma.anaviyat
aur in sab se pare khulne vaalī aañkh
maiñ āsmāñ ko oḌh kar chaltā
aur zamīn ko bichhaunā kartā huuñ
jahāñ maiñ huuñ
vahāñ abdiyat apnī girheñ kholtī hai
jañgal jhūmte haiñ
bādal baraste haiñ
mor nāchte haiñ
mere siine meñ ek samundar ne panāh le rakkhī hai
maiñ apnī aag meñ jaltā
apnī bārishoñ meñ nahātā huuñ
merī āvāz meñ
bahut sī āvāzoñ ne ghar kar rakkhā hai
aur merā libās
bahut sī dhajjiyoñ ko joḌ kar tayyār kiyā gayā hai
merī āñkhoñ meñ
ek girte hue shahr kā saarā malba hai
aur ek mustaqil intizār
aur aañsū
aur in āñsuoñ se phuul khilte haiñ
tālāb bante haiñ
jin meñ parinde nahāte haiñ
hañste aur ḳhvāb dekhte haiñ
mere paas
duniyā ko sunāne ke liye kuchh giit haiñ
aur batāne ke liye kuchh bāteñ
maiñ rad kiye jaane kī lazzat se āshnā huuñ
aur pazīrā.ī kī dil-nashīñ muskurāhaT se
bharā rahtā huuñ
mere paas
ek āshiq kī vāraftagī
dar-guzar aur be-niyāzī hai
tumhārī is duniyā meñ
mere paas kyā kuchh nahīñ hai
vaqt aur tum par iḳhtiyār ke sivā?
mere pas raaton ki tariki mein
khilne wale phul hain
aur be-KHwabi
dinon ki murjhai hui raushni hai
aur binai
mere pas lauT jaane ko ek mazi hai
aur yaad
mere pas masrufiyat ki tamam tar ranga-rangi hai
aur be-manawiyat
aur in sab se pare khulne wali aankh
main aasman ko oDh kar chalta
aur zamin ko bichhauna karta hun
jahan main hun
wahan abdiyat apni girhen kholti hai
jangal jhumte hain
baadal baraste hain
mor nachte hain
mere sine mein ek samundar ne panah le rakkhi hai
main apni aag mein jalta
apni barishon mein nahata hun
meri aawaz mein
bahut si aawazon ne ghar kar rakkha hai
aur mera libas
bahut si dhajjiyon ko joD kar tayyar kiya gaya hai
meri aankhon mein
ek girte hue shahr ka sara malba hai
aur ek mustaqil intizar
aur aansu
aur in aansuon se phul khilte hain
talab bante hain
jin mein parinde nahate hain
hanste aur KHwab dekhte hain
mere pas
duniya ko sunane ke liye kuchh git hain
aur batane ke liye kuchh baaten
main rad kiye jaane ki lazzat se aashna hun
aur pazirai ki dil-nashin muskurahaT se
bhara rahta hun
mere pas
ek aashiq ki waraftagi
dar-guzar aur be-niyazi hai
tumhaari is duniya mein
mere pas kya kuchh nahin hai
waqt aur tum par iKHtiyar ke siwa?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.