mere school
mere schōl mirī yādoñ ke paikar sun le
maiñ tire vāste rotā huuñ barābar sun le
tere ustādoñ ne mehnat se paḌhāyā hai mujhe
terī benchoñ ne hī insān banāyā hai mujhe
nā-tarāshīda sā hiirā thā tarāshā tū ne
zehn-e-tārīk ko baḳhshā hai ujālā tū ne
ilm kī jhiil kā tairāk banāyā hai mujhe
ḳhauf ko chhīn ke bebāk banāyā hai mujhe
tujh se shafqat bhī milī tujh se mohabbat bhī milī
daulat-e-ilm milī mujh ko sharāfat bhī milī
shafqateñ aisī milī haiñ mujhe ustādoñ kī
parvarish kartā ho jaise koī shahzādoñ kī
terī chāhat meñ maiñ is darja bhī kho jaatā thā
terī benchoñ pe hī kuchh der ko so jaatā thā
mere school meri yaadon ke paikar sun le
main tere waste rota hun barabar sun le
tere ustadon ne mehnat se paDhaya hai mujhe
teri benchon ne hi insan banaya hai mujhe
na-tarashida sa hira tha tarasha tu ne
zehn-e-tarik ko baKHsha hai ujala tu ne
ilm ki jhil ka tairak banaya hai mujhe
KHauf ko chhin ke bebak banaya hai mujhe
tujh se shafqat bhi mili tujh se mohabbat bhi mili
daulat-e-ilm mili mujh ko sharafat bhi mili
shafqaten aisi mili hain mujhe ustadon ki
parwarish karta ho jaise koi shahzadon ki
teri chahat mein main is darja bhi kho jata tha
teri benchon pe hi kuchh der ko so jata tha
- Book : Shahdaba (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.