mere shair zinda rahna
mirā dil kuchh Duub rahā hai
jab se maiñ ne
nam palkoñ kī os meñ Duubī
Duubī sī ik nazm paḌhī hai
chup chup baiThī soch rahī huuñ
tum ne āḳhir ye kyoñ sochā
tum tanhā ho
merī aañkh kā saarā afsūñ
merā komal komal saaya
narm havā meñ shāmil ho ke
paas tumhāre na aayā kyā
chup chup baiThī soch rahī huuñ
tum ne āḳhir ye kyā likkhā
TūTā-phūTā ek gharauñdā
jaane kab kā bikhar chukā huuñ
apnī ruuh ke añdhiyāroñ meñ
utar chukā huuñ
tum ho sāhab
nuur kā haala
maañg kī afshāñ
chandan maalā
mere shā.ir
zinda rahnā
mere shā.ir zinda rahnā
mera dil kuchh Dub raha hai
jab se main ne
nam palkon ki os mein Dubi
Dubi si ek nazm paDhi hai
chup chup baiThi soch rahi hun
tum ne aaKHir ye kyon socha
tum tanha ho
meri aankh ka sara afsun
mera komal komal saya
narm hawa mein shamil ho ke
pas tumhaare na aaya kya
chup chup baiThi soch rahi hun
tum ne aaKHir ye kya likkha
TuTa-phuTa ek gharaunda
jaane kab ka bikhar chuka hun
apni ruh ke andhiyaron mein
utar chuka hun
tum ho sahab
nur ka haala
mang ki afshan
chandan mala
mere shair
zinda rahna
mere shair zinda rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.